छोटी सी नदी—कलकल करती हुई—गोधूलि में
पीले आकाश की अलसाई आश्चर्य भरी चितवन—
लगभग स्वर्ग का सा सुख
और हर चीज़ मुँद आई है और नींद में डूब गई है
तमाम चिंताएँ, तकलीफ़ें, दर्द
गोधूलि में लीन हो गए हैं
केवल गोधूलि और नदी का कोमल सीत्कार
जो लगातार रहेगा
और अंत में मुझे अब मालूम हो गया कि यही
है तुम्हारे लिए मेरा प्यार
मैं उसे साकार देख रहा हूँ, गोधूलि सा वह संपूर्ण है
विराट, इतना विराट कि पहले मैं कभी उसे देख नहीं सका
छोटी मोटी टिमटिमाहटों, बाधाओं,
मुसीबतों, चिंताओं, पीड़ाओं के कारण
तुम एक पुकार हो, और मैं हूँ उत्तर
तुम इच्छा हो और मैं उसकी संपूर्ति
तुम रात हो और मैं हूँ दिन
शेष क्या? यह संपूर्ण है—
पूर्णतया संपूर्ण
तुम हो मैं हूँ—
शेष क्या?
विचित्र है कि इसके बावजूद हम पीड़ा से मुक्त नहीं।
chhoti si nadi—kalkal karti hui—godhuli men
pile akash ki alsai ashcharya bhari chitvan—
lagbhag svarg ka sa sukh
aur har cheez mund aai hai aur neend mein Doob gai hai
tamam chintayen, taklifen, dard
godhuli mein leen ho ge hain
keval godhuli aur nadi ka komal sitkar
jo lagatar rahega
aur ant mein mujhe ab malum ho gaya ki yahi
hai tumhare liye mera pyaar
main use sakar dekh raha hoon, godhuli sa wo sampurn hai
virat, itna virat ki pahle main kabhi use dekh nahin saka
chhoti moti timatimahton, badhaon,
musibton, chintaon, piDaon ke karan
tum ek pukar ho, aur main hoon uttar
tum ichchha ho aur main uski sampurti
tum raat ho aur main hoon din
shesh kyaa? ye sampurn hai—
purnatya sampurn
tum ho main hoon—
shesh kyaa?
vichitr hai ki iske bavjud hum piDa se mukt nahin.
chhoti si nadi—kalkal karti hui—godhuli men
pile akash ki alsai ashcharya bhari chitvan—
lagbhag svarg ka sa sukh
aur har cheez mund aai hai aur neend mein Doob gai hai
tamam chintayen, taklifen, dard
godhuli mein leen ho ge hain
keval godhuli aur nadi ka komal sitkar
jo lagatar rahega
aur ant mein mujhe ab malum ho gaya ki yahi
hai tumhare liye mera pyaar
main use sakar dekh raha hoon, godhuli sa wo sampurn hai
virat, itna virat ki pahle main kabhi use dekh nahin saka
chhoti moti timatimahton, badhaon,
musibton, chintaon, piDaon ke karan
tum ek pukar ho, aur main hoon uttar
tum ichchha ho aur main uski sampurti
tum raat ho aur main hoon din
shesh kyaa? ye sampurn hai—
purnatya sampurn
tum ho main hoon—
shesh kyaa?
vichitr hai ki iske bavjud hum piDa se mukt nahin.
स्रोत :
पुस्तक : देशान्तर (पृष्ठ 100)
संपादक : धर्मवीर भारती
रचनाकार : डी. एच. लॉरेंस
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ, काशी
संस्करण : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.