जब चाँद एक धनी वृद्ध महिला के साथ सोता है
मैं आम्र कुँज में एक कुमारी को प्यार करता हूँ।
उसका हृदय असभ्य और अग्निम है
भूख और प्यास को पैरों तले रौंदता हुआ।
अपनी विपत्ति में हम
अँधेरे और छायाओं के बीच होते हैं
हमारे विद्रोह का आवेश दहाड़ता है
और मेरी प्रेमिका का भयावह अट्टहास
मेरे हृदय को ख़ुशी से भर देता है।
वृक्षों की छाँव में
उसकी देह एक स्वर्ग-मृग सी चमकती है
उसके अपरिष्कृत स्तन
अधपके फल जैसे हैं
उसकी देह की सुगंध
हरी घास की सुगंध जैसी है
मैं करता हूँ उसका आलिंगन इस तरह
जैसे मैं जीवन और मृत्यु का आलिंगन करता हूँ
और उसकी तेज़ श्वास
मेरे कानों में फुसफुसाती है
अपनी पलकों की आड़ में खिले इंद्रधनुष से
वह किस प्रकार चकित होती है
अँधेरे के केंद्र से
प्रकट होते हैं हमारे आदिम पूर्वज
अपने फटे चिथड़ों में वे हमारे निकट
आकर बैठ जाते हैं
और हमें निहारते रहते हैं।
jab chaand ek dhani vriddh mahila ke saath sota hai
main aamr kunj mein ek kumari ko pyaar karta hoon.
uska hriday asabhya aur agnim hai
bhookh aur pyaas ko pairon tale raundta hua.
apni vipatti mein hum
andhere aur chhayaon ke beech hote hain
hamare vidroh ka avesh dahaDta hai
aur meri premika ka bhayavah attahas
mere hriday ko khushi se bhar deta hai.
vrikshon ki chhaanv mein
uski deh ek svarg mrig si chamakti hai
uske aprishkrit stan
adhapke phal jaise hain
uski deh ki sugandh
hari ghaas ki sugandh jaisi hai
main karta hoon uska alingan is tarah
jaise main jivan aur mrityu ka alingan karta hoon
aur uski tez shvaas
mere kanon mein phusaphusati hai
apni palkon ki aaD mein khile indradhnush se
wo kis prakar chakit hoti hai
andhere ke kendr se
prakat hote hain hamare aadim purvaj
apne phate chithDon mein ve hamare nikat
aakar baith jate hain
aur hamein niharte rahte hain.
jab chaand ek dhani vriddh mahila ke saath sota hai
main aamr kunj mein ek kumari ko pyaar karta hoon.
uska hriday asabhya aur agnim hai
bhookh aur pyaas ko pairon tale raundta hua.
apni vipatti mein hum
andhere aur chhayaon ke beech hote hain
hamare vidroh ka avesh dahaDta hai
aur meri premika ka bhayavah attahas
mere hriday ko khushi se bhar deta hai.
vrikshon ki chhaanv mein
uski deh ek svarg mrig si chamakti hai
uske aprishkrit stan
adhapke phal jaise hain
uski deh ki sugandh
hari ghaas ki sugandh jaisi hai
main karta hoon uska alingan is tarah
jaise main jivan aur mrityu ka alingan karta hoon
aur uski tez shvaas
mere kanon mein phusaphusati hai
apni palkon ki aaD mein khile indradhnush se
wo kis prakar chakit hoti hai
andhere ke kendr se
prakat hote hain hamare aadim purvaj
apne phate chithDon mein ve hamare nikat
aakar baith jate hain
aur hamein niharte rahte hain.
स्रोत :
पुस्तक : दरवाज़े में कोई चाबी नहीं (पृष्ठ 195)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : डब्ल्यू. एस. रेण्ड्रा
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.