रास्ते
चाँदनी ओढ़ कर सो गए
झील पर नींद की सिलवटें पड़ गईं
आहटें
पहले पीली पड़ीं
और फिर
एक-एक करके सब झड़ गईं
रात का पेड़
दस्ते-दुआ बन गया
अपनी ही ज़ात से
अपने ही आपके बीच का फ़ासिला बन गया
दर्द का रास्ता बन गया
एक बूढ़ा
पुर-असरार दरवेश
जो सैकड़ों हाथ अपने उठाए हुए
आसमाँ की तरफ़
देखते-देखते थक गया
आसमाँ चुप रहा
रात के पेड़ के हाथ दुखने लगे
फिर वही पेड़
वहशत का इक सिलसिला बन गया
क़िस्सा-ए-अहले-दिल
क़िस्सा-ए-साहिबाने-वफ़ा बन गया
ज़ख़्मों की कोंपलें आ गईं
और उस पेड़ ने झुक के मुझसे कहा :
“सुबह के शौक़ में जागने से बड़ी कोई नेमत नहीं
अपनी आँखों को तुम
सुबह के शौक़ में
जागने और जगाने की तालीम दो”
raste
chandni oDh kar so gaye
jheel par neend ki silwaten paD gain
ahaten
pahle pili paDin
aur phir
ek ek karke sab jhaD gain
raat ka peD
daste dua ban gaya
apni hi zat se
apne hi aapke beech ka fasila ban gaya
dard ka rasta ban gaya
ek buDha
pur asrar darwesh
jo saikDon hath apne uthaye hue
asman ki taraf
dekhte dekhte thak gaya
asman chup raha
raat ke peD ke hath dukhne lage
phir wahi peD
wahshat ka ek silsila ban gaya
qissa e ahle dil
qissa e sahibane wafa ban gaya
zakhmon ki konplen aa gain
aur us peD ne jhuk ke mujhse kaha ha
“subah ke shauq mein jagne se baDi koi nemat nahin
apni ankhon ko tum
subah ke shauq mein
jagne aur jagane ki talim do”
raste
chandni oDh kar so gaye
jheel par neend ki silwaten paD gain
ahaten
pahle pili paDin
aur phir
ek ek karke sab jhaD gain
raat ka peD
daste dua ban gaya
apni hi zat se
apne hi aapke beech ka fasila ban gaya
dard ka rasta ban gaya
ek buDha
pur asrar darwesh
jo saikDon hath apne uthaye hue
asman ki taraf
dekhte dekhte thak gaya
asman chup raha
raat ke peD ke hath dukhne lage
phir wahi peD
wahshat ka ek silsila ban gaya
qissa e ahle dil
qissa e sahibane wafa ban gaya
zakhmon ki konplen aa gain
aur us peD ne jhuk ke mujhse kaha ha
“subah ke shauq mein jagne se baDi koi nemat nahin
apni ankhon ko tum
subah ke shauq mein
jagne aur jagane ki talim do”
स्रोत :
पुस्तक : ग़रीबे-शहर (पृष्ठ 55)
संपादक : कुँवरपाल सिंह
रचनाकार : राही मासूम रज़ा
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.