आओ लगाएँ एक प्यार का लंगर
बैठकर खाएँ सब जिसके अंदर
पहुँचे उन तक पानी हन-हन
था अंतिम पात जो सदियों से बंजर
आओ लगाएँ एक प्यार का लंगर
हो जले जाति जहाँ लकड़ी-सी
धर्म कटे जहाँ बकरी-सा
जहाँ मन की गाँठ को काटे ख़ंजर
आओ लगाएँ एक प्यार का लंगर
कर्मनाशा को, कब तक हार मिले?
अब तो सेवा को उचित सम्मान मिले
जब नदी पुकारे, तो भाग आए समंदर
आओ लगाएँ एक प्यार का लंगर
इतना मिले कि लौट आए साँस
इतना मिले कि उग आए मांस
और छिप जाएँ सभी के अस्थि-पंजर
आओ लगाएँ एक प्यार का लंगर
हो बोल मीठे तो बात बने
सबके लिए एक ही खाट बने
समझो मुस्कुरा गए बुद्ध
और बदल गया मंज़र
आओ लगाएँ एक प्यार का लंगर
aao lagayen ek pyaar ka langar
baith kar khaye sab jiske andar
pahunche un tak pani han han
tha antim paat jo sadiyon se banjar
aao lagayen ek pyaar ka langar. . .
ho jale jati jahan lakDi sa
dharm kate jahan bakri sa
jahan man ki gaanth ko kate khanjar
aao lagayen ek pyaar ka langar. . .
karmanasha ko, kab tak haar mile?
ab to seva ko uchit samman mile
jab nadi pukare,to bhaag aaye samandar
aao lagayen ek pyaar ka langar. . . .
itna mile ki laut aaye saans
itna mile ki ug aaye maans
aur chhip jayen sabhi ke asthi panjar
aao lagayen ek pyaar ka langar. . .
ho bol mithe to baat bane
sab ke liye ek hi khaat bane
samjho muskura gaye buddh
aur badal gaya manzar
aao lagayen ek pyaar ka langar…
aao lagayen ek pyaar ka langar
baith kar khaye sab jiske andar
pahunche un tak pani han han
tha antim paat jo sadiyon se banjar
aao lagayen ek pyaar ka langar. . .
ho jale jati jahan lakDi sa
dharm kate jahan bakri sa
jahan man ki gaanth ko kate khanjar
aao lagayen ek pyaar ka langar. . .
karmanasha ko, kab tak haar mile?
ab to seva ko uchit samman mile
jab nadi pukare,to bhaag aaye samandar
aao lagayen ek pyaar ka langar. . . .
itna mile ki laut aaye saans
itna mile ki ug aaye maans
aur chhip jayen sabhi ke asthi panjar
aao lagayen ek pyaar ka langar. . .
ho bol mithe to baat bane
sab ke liye ek hi khaat bane
samjho muskura gaye buddh
aur badal gaya manzar
aao lagayen ek pyaar ka langar…
स्रोत :
रचनाकार : बच्चा लाल 'उन्मेष'
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.