दीए मोहब्बतों के जगते रहें
दिलों के अंदर
सीमाओं पर
मुंडेरों पर
होती रहें दस्तकें, आते रहें ख़त
जगत रहें दर-दरवाज़े
मिलती रहें ख़ुश-आमदीद
होती रहें छोटे-छोटे गिले-शिकवे मनाने की बूँदा-बाँदी
किसी के आमद की ख़बर में
भीगी रहें हमारी यादें
कोई अंबर बनकर सर पे छाया बने
क़दमों के सफ़र की महक बनकर लरजता रहे
सुरमई नींद में
जिसका कोई स्वप्न आए
जिसका पता
उम्र की तली पर मुस्कराए
वह आए ख़त बनकर
या दस्तक
मैं दहलीज़ बनकर खड़ा हूँ
और दरवाज़ा भी
एक दीया मेरी तली पर जग रहा है।
diye mohabbton ke jagte rahen
dilon ke andar
simaon par
munDeron par
hoti rahen dastken, aate rahen khat
jagat rahen dar darwaze
milti rahen khush amadid
hoti rahen chhote chhote gile shikwe manane ki bundabandi
kisi ke aamad ki khabar mein
bhigi rahen hamari yaden
koi ambar bankar sar pe chhaya bane
qadmon ke safar ki mahak bankar larajta rahe
surami neend mein
jiska koi swapn aaye
jiska pata
umr ki tali par muskraye
wo aaye khat bankar
ya dastak
main dahliz bankar khaDa hoon
aur darwaza bhi
ek diya meri tali par jag raha hai
diye mohabbton ke jagte rahen
dilon ke andar
simaon par
munDeron par
hoti rahen dastken, aate rahen khat
jagat rahen dar darwaze
milti rahen khush amadid
hoti rahen chhote chhote gile shikwe manane ki bundabandi
kisi ke aamad ki khabar mein
bhigi rahen hamari yaden
koi ambar bankar sar pe chhaya bane
qadmon ke safar ki mahak bankar larajta rahe
surami neend mein
jiska koi swapn aaye
jiska pata
umr ki tali par muskraye
wo aaye khat bankar
ya dastak
main dahliz bankar khaDa hoon
aur darwaza bhi
ek diya meri tali par jag raha hai
स्रोत :
पुस्तक : ओ पंखुरी (पृष्ठ 46)
रचनाकार : परमिंदरजीत
प्रकाशन : संवाद प्रकाशन
संस्करण : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.