स्वस्थ मन से, स्नेह भरे मन से
उल्लास भरे मन से
इस दिन को मैं ऐसे देखूँ
जैसे यह मेरा छोटा भाई हो
जिसका संरक्षण निर्देशन मेरे हाथ में है।
मेरे विचार शुद्ध रहें,
मेरी धारणाएँ उदात्त रहें,
मेरी भावनाओं में विषमता न आवे
मेरी वाणी हृदय से निकलने वाली हो
मेरी बाँहें स्वागतोत्सुक और सबल हों
जैसे हर बंद कली में
मधुमास छिपा रहता है
वैसे ही हर मनुष्य की आत्मा में
जीवन के पूर्ण सौंदर्य का भेद छिपा रहता है
एक घड़ी
अशुभ काम में, अशिव विचार में
बिताने के अर्थ हैं
हृदय में संग्रहीत वैभव को नष्ट करना
इस पूरे दिन मैं जागरूक रहूँ
ताकि मेरा जीवन इतना
प्रांजल रहे जैसे
जैसे किसी भोली-भाली लड़की का
निश्छल उल्लास!
svasth man se, sneh bhare man se
ullaas bhare man se
is din ko main aise dekhun
jaise ye mera chhota bhai ho
jiska sanrakshan nirdeshan mere haath mein hai.
mere vichar shuddh rahen,
meri dharnayen udaatt rahen,
meri bhavnaon mein vishamata na aave
meri vani hriday se nikalne vali ho
meri banhen svagtotsuk aur sabal hon
jaise har band kali men
madhumas chhipa rahta hai
vaise hi har manushya ki aatma men
jivan ke poorn saundarya ka bhed chhipa rahta hai
ek ghaDi
ashubh kaam mein, ashiv vichar men
bitane ke arth hain
hriday mein sangrhit vaibhav ko nasht karna
is pure din main jagaruk rahun
taki mera jivan itna
pranjal rahe jaise
jaise kisi bholi bhali laDki ka
nishchhal ullaas!
svasth man se, sneh bhare man se
ullaas bhare man se
is din ko main aise dekhun
jaise ye mera chhota bhai ho
jiska sanrakshan nirdeshan mere haath mein hai.
mere vichar shuddh rahen,
meri dharnayen udaatt rahen,
meri bhavnaon mein vishamata na aave
meri vani hriday se nikalne vali ho
meri banhen svagtotsuk aur sabal hon
jaise har band kali men
madhumas chhipa rahta hai
vaise hi har manushya ki aatma men
jivan ke poorn saundarya ka bhed chhipa rahta hai
ek ghaDi
ashubh kaam mein, ashiv vichar men
bitane ke arth hain
hriday mein sangrhit vaibhav ko nasht karna
is pure din main jagaruk rahun
taki mera jivan itna
pranjal rahe jaise
jaise kisi bholi bhali laDki ka
nishchhal ullaas!
स्रोत :
पुस्तक : देशान्तर (पृष्ठ 74)
संपादक : धर्मवीर भारती
रचनाकार : लुइस कने
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ, काशी
संस्करण : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.