क़ैद हैं आज सभी
प्रवाद के जंगल में
इसकी-उसकी सबकी
ऐसी-वैसी करने में
भूल कबीर की वाणी
सब खड़े हैं
हिंसा के मैदान में
मेहनत भूल
वे फंसे हैं
दुनिया के प्रवाद पर्व में
इतिहास गवाह है
मानव ने सबसे पहले
ख़ुद को किया था मुक्त
अरण्य से
पर आज हम
नहीं कर सके मुक्त
ख़ुद को पशुत्व से
काम-क्रोध-लोभ
मोह के अरण्य में
हम जा रहे हैं फंसते
भूल मनुष्यता का पाठ
रच रहे हैं नित्य पशुता का ठाट
याद कीजिए
शबर जाति की शबरी को
रहकर पशुओं संग
बचाया था उसने आदमियत का रंग
जाति नहीं कर्म से हुई वो महान
काम के प्रति
सच्ची भक्ति और श्रद्धा से ही
बना उसका जीवन पावन
जूठे बैर खा
भगवान राम ने
अपना कर्तव्य निभाया
सच यही जीवन का
सबको भाया
सुनो
कर्म नहीं है प्रवाद पर्व
मानव से मानव का
प्रेम ही
है कर्म का महापर्व
qaid hain aaj sabhi
pravad ke jangal men
iski uski sabki
aisi vaisi karne men
bhool kabir ki vani
sab khaDe hain
hinsa ke maidan men
mehnat bhool
ve phanse hain
duniya ke pravad parv men
itihas gavah hai
manav ne sabse pahle
khud ko kiya tha mukt
aranya se
par aaj hum
nahin kar sake mukt
khud ko pashutv se
kaam krodh lobh
moh ke aranya men
hum ja rahe hain phanste
bhool manushyata ka paath
rach rahe hain nitya pashuta ka thaat
yaad kijiye
shabar jati ki shabri ko
rahkar pashuon sang
bachaya tha usne adamiyat ka rang
jati nahin karm se hui wo mahan
kaam ke prati
sachchi bhakti aur shraddha se hi
bana uska jivan pavan
juthe bair kha
bhagvan raam ne
apna kartavya nibhaya
sach yahi jivan ka
sabko bhaya
suno
karm nahin hai pravad parv
manav se manav ka
prem hi
hai karm ka mahaparv
qaid hain aaj sabhi
pravad ke jangal men
iski uski sabki
aisi vaisi karne men
bhool kabir ki vani
sab khaDe hain
hinsa ke maidan men
mehnat bhool
ve phanse hain
duniya ke pravad parv men
itihas gavah hai
manav ne sabse pahle
khud ko kiya tha mukt
aranya se
par aaj hum
nahin kar sake mukt
khud ko pashutv se
kaam krodh lobh
moh ke aranya men
hum ja rahe hain phanste
bhool manushyata ka paath
rach rahe hain nitya pashuta ka thaat
yaad kijiye
shabar jati ki shabri ko
rahkar pashuon sang
bachaya tha usne adamiyat ka rang
jati nahin karm se hui wo mahan
kaam ke prati
sachchi bhakti aur shraddha se hi
bana uska jivan pavan
juthe bair kha
bhagvan raam ne
apna kartavya nibhaya
sach yahi jivan ka
sabko bhaya
suno
karm nahin hai pravad parv
manav se manav ka
prem hi
hai karm ka mahaparv
स्रोत :
रचनाकार : मधु सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.