सो मैं जनता हूँ : सुखी आदमी ही
होता है प्रीतिकर। उसकी आवाज़
लगती है कर्णप्रिय। उसका मुख सलोना।
आँगन का ठूठा दरख़्त
दिखा रहा है कि ज़मीन ख़राब है, लेकिन
राहगीर उसे ठूँठा कह कर गरियाते हैं
और ठीक भी है।
जलडमरूमध्य में हरी-हरी नौकाएँ और लहराते पाल
मैं नहीं देखता। उनमें
देखता हूँ केवल फटे जाल मछुओं के
क्यों दर्ज करता हूँ मैं केवल यह
कि चालीस साल की देहातिन
झुकी-झुकी चलती है?
लड़कियों के स्तन
सदा की तरह गर्म हैं।
अपनी कविता में कुछ भी तुकांत
मुझे लगेगा लगभग दुस्साहस।
मेरे भीतर है कशमकश
सेबों के फूले दरख़्तों पर उछाह
और पुतैया को तकरीरों से दहशत
मगर यही बाद वाली चीज़
धकेलती है मुझे लिखने की मेज़ की तरफ़।
so main janta hoon ha sukhi adami hi
hota hai pritikar. uski avaz
lagti hai karnapriy. uska mukh salona.
angan ka thutha darakht
dikha raha hai ki zamin kharab hai, lekin
rahgir use thuntha kah kar gariyate hain
aur theek bhi hai.
jalDamrumadhya mein hari hari naukayen aur lahrate paal
main nahin dekhta. unmen
dekhta hoon keval phate jaal machhuon ke
kyon darj karta hoon main keval ye
ki chalis saal ki dehatin
jhuki jhuki chalti hai?
laDakiyon ke stan
sada ki tarah garm hain.
apni kavita mein kuch bhi tukant
mujhe lagega lagbhag dussahas.
mere bhitar hai kashmakash
sebon ke phule darakhton par uchhaah
aur putaiya ko takriron se dahshat
magar yahi baad vali cheez
dhakelti hai mujhe likhne ki mez ki taraf.
so main janta hoon ha sukhi adami hi
hota hai pritikar. uski avaz
lagti hai karnapriy. uska mukh salona.
angan ka thutha darakht
dikha raha hai ki zamin kharab hai, lekin
rahgir use thuntha kah kar gariyate hain
aur theek bhi hai.
jalDamrumadhya mein hari hari naukayen aur lahrate paal
main nahin dekhta. unmen
dekhta hoon keval phate jaal machhuon ke
kyon darj karta hoon main keval ye
ki chalis saal ki dehatin
jhuki jhuki chalti hai?
laDakiyon ke stan
sada ki tarah garm hain.
apni kavita mein kuch bhi tukant
mujhe lagega lagbhag dussahas.
mere bhitar hai kashmakash
sebon ke phule darakhton par uchhaah
aur putaiya ko takriron se dahshat
magar yahi baad vali cheez
dhakelti hai mujhe likhne ki mez ki taraf.
स्रोत :
पुस्तक : प्यास से मरती एक नदी (पृष्ठ 110)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक रायनर लोत्स, गिरधर राठी
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.