मैं लिख देती हूँ
अपने घर की नींव
घर की ऊँची छत
और सारी मज़बूत दीवारें
अपनी गली
अपना मोहल्ला
और अपने घर का पता
मैं लिख देती हूँ
चूल्हे में धधकती आँच
पकती रोटियाँ
और तृप्त होती भूख
मैं लिख देती हूँ
एक सुक़ून भरी नींद
और कुछ मीठे सपने
मैं लिख देती हूँ
आँगन का वह विशाल दरख़्त
और पत्ती-पत्ती छाँव
मैं लिख देती हूँ
सागर, धरती, आकाश
और पहाड़-सा एक जीवन
बस नहीं लिख पाती तो
चेहरे की कुछ झुर्रियाँ
खुरदरी हथेलियाँ
और थकते लड़खड़ाते क़दम
हाँ, कभी भी नहीं लिख पाती मैं
अपने पिता का मन...
main likh deti hoon
apne ghar ki neenw
ghar ki unchi chhat
aur sari mazbut diwaren
apni gali
apna mohalla
aur apne ghar ka pata
main likh deti hoon
chulhe mein dhadhakti anch
pakti rotiyan
aur tript hoti bhookh
main likh deti hoon
ek suqun bhari neend
aur kuch mithe sapne
main likh deti hoon
angan ka wo wishal darakht
aur patti patti chhanw
main likh deti hoon
sagar, dharti, akash
aur pahaD sa ek jiwan
bus nahin likh pati to
chehre ki kuch jhurriyan
khuradri hatheliyan
aur thakte laDkhaDate qadam
han, kabhi bhi nahin likh pati main
apne pita ka man
main likh deti hoon
apne ghar ki neenw
ghar ki unchi chhat
aur sari mazbut diwaren
apni gali
apna mohalla
aur apne ghar ka pata
main likh deti hoon
chulhe mein dhadhakti anch
pakti rotiyan
aur tript hoti bhookh
main likh deti hoon
ek suqun bhari neend
aur kuch mithe sapne
main likh deti hoon
angan ka wo wishal darakht
aur patti patti chhanw
main likh deti hoon
sagar, dharti, akash
aur pahaD sa ek jiwan
bus nahin likh pati to
chehre ki kuch jhurriyan
khuradri hatheliyan
aur thakte laDkhaDate qadam
han, kabhi bhi nahin likh pati main
apne pita ka man
स्रोत :
रचनाकार : स्मिता सिन्हा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.