माँ ने कहा
ग़लत, ग़लत है।
और ग़लत को देखकर
चुप रहना
उससे भी ज़्यादा ग़लत।
मिलेंगे लोग तुम्हें
जो होते रहेंगे प्रताड़ित
जब हाथ बढ़ाओगी तुम
तरफ़दारी कर ग़लत की
करेंगे तुम्हें ही लांछित।
नहीं, घबराना मत
ये दबे लोग, शोषक को अपना ख़ुदा मानते हैं
उनकी आज्ञा को शिरोधार्य करना ही जानते हैं।
अरे, इनका क़ाफ़िला बहुत ही बड़ा है
इनके जैसे लोगों में बहुत ही अपनापा है।
ये वो हुजूम है जो ताउम्र
ग़लत को ग़लत नहीं कह पाए।
इनके लिए तुम हो
जीवन के विधान में व्यवधान करने वाले।
लेकिन करना वही जो तुम्हारा अंतर कहता है
क्योंकि तुम्हें मात्र उसे जवाब देना है।
जो मानते हैं
इतना ग़लत तो हर जगह है
इसलिए यह ग़लत, ग़लत नहीं है।
अफ़सोस करना तुम
उनकी सोच, शिक्षा और पद पर।
समझ लेना कि कतरा जाता रहा है
हमेशा उनका अपना पर।
ध्यान रखना कि ग़लत
ग़लत ही होता है
और ये मानने वाला भी
उतना ही ग़लत होता है।
maan ne kaha,
ghalat, ghalat hai.
aur ghalat ko dekhkar
chup rahna,
usse bhi zyada ghalat.
milenge log tumhein,
jo hote rahenge prtaDit
jab haath baDhaogi tum
tarafdari kar ghalat ki
karenge tumhein hi lanchhit.
nahin, ghabrana mat
ye dabe log, shoshak ko apna khuda mante hain,
unki aagya ko shirodharya karna hi jante hain.
are, inka qafila bahut hi baDa hai,
inke jaise logon mein bahut hi apnapa hai.
ye wo hujum hai jo taumr
ghalat ko ghalat nahin kah pae.
inke liye tum ho,
jivan ke vidhan mein vyavdhan karne vale.
lekin karna vahi jo tumhara antar kahta hai,
kyonki tumhein maatr use javab dena hai.
jo mante hain
itna ghalat to har jagah hai
isliye ye ghalat, ghalat nahin hai.
afsos karna tum
unki soch, shiksha aur pad par.
samajh lena ki katra jata raha hai
hamesha unka apna par.
dhyaan rakhna ki ghalat
ghalat hi hota hai
aur ye manne vala bhi
utna hi ghalat hota hai.
maan ne kaha,
ghalat, ghalat hai.
aur ghalat ko dekhkar
chup rahna,
usse bhi zyada ghalat.
milenge log tumhein,
jo hote rahenge prtaDit
jab haath baDhaogi tum
tarafdari kar ghalat ki
karenge tumhein hi lanchhit.
nahin, ghabrana mat
ye dabe log, shoshak ko apna khuda mante hain,
unki aagya ko shirodharya karna hi jante hain.
are, inka qafila bahut hi baDa hai,
inke jaise logon mein bahut hi apnapa hai.
ye wo hujum hai jo taumr
ghalat ko ghalat nahin kah pae.
inke liye tum ho,
jivan ke vidhan mein vyavdhan karne vale.
lekin karna vahi jo tumhara antar kahta hai,
kyonki tumhein maatr use javab dena hai.
jo mante hain
itna ghalat to har jagah hai
isliye ye ghalat, ghalat nahin hai.
afsos karna tum
unki soch, shiksha aur pad par.
samajh lena ki katra jata raha hai
hamesha unka apna par.
dhyaan rakhna ki ghalat
ghalat hi hota hai
aur ye manne vala bhi
utna hi ghalat hota hai.
स्रोत :
रचनाकार : मेधा झा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.