हिल रहा था पानी का आँचल
कीचड़ से सनी उसकी देह जैसे सभ्यता का शव हो
कभी गाए थे कलश ने उसकी गरिमा के गीत
अंजुरी में मंत्र की तरह भरती थी उसकी पवित्रता
सभ्यताओं ने सुनी
घने जंगलों और उदास पहाड़ों से होकर
समतल मैदानों में बहता उसका गीत
धरती देखती थी प्यासी आँखों से
चमकते, गरजते, बरसते पानी की धज को
भीगी रात में वनस्पतियों के तन पर
ओस की टप-टप का संगीत भरता था जीवन
नदी किनारें जन्मी सभ्यताएँ
मछली की तरह रेत पर छटपटा रही हैं पत्थर की शय्या पर
hil raha tha pani ka anchal
kichaD se sani uski deh jaise sabhyata ka shau ho
kabhi gaye the kalash ne uski garima ke geet
anjuri mein mantr ki tarah bharti thi uski pawitarta
sabhytaon ne suni
ghane janglon aur udas pahaDon se hokar
samtal maidanon mein bahta uska geet
dharti dekhti thi pyasi ankhon se
chamakte, garajte, baraste pani ki dhaj ko
bhigi raat mein wanaspatiyon ke tan par
os ki tap tap ka sangit bharta tha jiwan
nadi kinaren janmi sabhytayen
machhli ki tarah ret par chhatapta rahi hain patthar ki shayya par

स्रोत :
रचनाकार : अरुण देव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.