कवि के मन में प्रतिहिंसा जाग रही है
वह आघात के तरीक़ों का आविष्कार कर
रहा है
कवि उस आवाज़ को ढूँढ़ रहा है
जो बारूद की आवाज़ के बीच
साफ़ सुनी जाएगी
विस्फोट का क्षण कुछ समय के लिए
टल जाएगा
कवि शब्दों को परख रहा है
जो विस्फोट को रद्द करने के लिए
थोड़ा समय चाहते हैं
कवि जानता है हत्या के बाद
हत्यारे अपने घरों को जाते हैं,
बच्चों को चूमते हैं
कवि हत्यारों को हवा में
उछाल सकता है
देखिए, वे कैसे नहीं खिलखिला पड़ते
कवि कोई डरपोक व्यक्ति नहीं है
वह बंदूक़ के इस्तेमाल का सही
वक़्त जानता है।
kavi ke man mein pratihinsa jaag rahi hai
wo aghat ke tarikon ka avishkar kar
raha hai
kavi us avaz ko DhoonDh raha hai
jo barud ki avaz ke beech
saaf suni jayegi
visphot ka kshan kuch samay ke liye
tal jayega
kavi shabdon ko parakh raha hai
jo visphot ko radd karne ke liye
thoDa samay chahte hain
kavi janta hai hatya ke baad
hatyare apne gharon ko jate hain,
bachchon ko chumte hain
kavi hatyaron ko hava men
uchhaal sakta hai
dekhiye, ve kaise nahin khil khila paDte
kavi koi Darpok vyakti nahin hai
wo banduk ke istemal ka sahi
vakt janta hai.
kavi ke man mein pratihinsa jaag rahi hai
wo aghat ke tarikon ka avishkar kar
raha hai
kavi us avaz ko DhoonDh raha hai
jo barud ki avaz ke beech
saaf suni jayegi
visphot ka kshan kuch samay ke liye
tal jayega
kavi shabdon ko parakh raha hai
jo visphot ko radd karne ke liye
thoDa samay chahte hain
kavi janta hai hatya ke baad
hatyare apne gharon ko jate hain,
bachchon ko chumte hain
kavi hatyaron ko hava men
uchhaal sakta hai
dekhiye, ve kaise nahin khil khila paDte
kavi koi Darpok vyakti nahin hai
wo banduk ke istemal ka sahi
vakt janta hai.
स्रोत :
पुस्तक : सुनता हूँ पानी गिरने की आवाज़ (पृष्ठ 37)
रचनाकार : राजेश सकलानी
प्रकाशन : सार्थक प्रकाशन
संस्करण : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.