नहीं, उन्हें पता नहीं होता
कि उनका समूचा व्यक्तित्व
एक कुपोषित ढाँचा मात्र है
जिनमें अभाव है भावनाओं का
क्योंकि उनका पूरा जीवन
बीता है भय के साये में
ये साए अनेकों रूप धरकर
बंधक बनाए रहे उन्हें
नियमों और परंपरा के नाम पर
बताते रहे कि सुरक्षित है वो
उनके घेरे में बाहर के थपेड़ों से
घेरे से बाहर रौंध डालेगी दुनिया उन्हें
इसलिए उन्हें अनभिज्ञ रखा गया
बाहरी दुनिया से, ज्ञान से
जीवन के मूल सिद्धाँत से
हरेक शोषक ने स्वाँग रचा रक्षक का
आँख मूंदे शोषितों ने विश्वास किया
क्योंकि वे तैयार थे शोषण के लिए
जिसने आवाज़ उठाया
शोषकों ने भिड़ा दिया शोषितों को
उनके रहनुमाओं के ख़िलाफ़
और लेते रहे मज़ा
और यूँही चलता रहा चक्र
शोषक शोषितों का हर तरफ़
शोषक चालाकियों पर ख़ुश होता रहा
शोषित अपनी बेचारगी पर तरस खाता रहा
फिर चखा उसने स्वाद ख़ुशी का
और हँस कर वरण किया मृत्यु का
पीछे एक और, फिर एक और
इनके रक्त ने लिखा नवीन कहानी
नए भोर का, नई शुरुआत का।
nahin, unhen pata nahin hota
ki unka samucha vyaktitv
ek kuposhit Dhancha maatr hai
jinmen abhav hai bhavnaon ka
kyonki unka pura jivan
bita hai bhay ke saye men
ye saye anekon roop dharkar
bandhak banaye rahe unhen
niymon aur parampara ke naam par
batate rahe ki surakshit hai wo
unke ghere mein bahar ke thapeDon se
ghere se bahar raundh Dalegi duniya unhen
isliye unhen anbhigya rakha gaya
bahari duniya se, gyaan se
jivan ke mool siddhant se
harek shoshak ne svaang racha rakshak ka
ankh munde shoshiton ne vishvas kiya
kyonki ve taiyar the shoshan ke liye
jisne avaz uthaya
shoshkon ne bhiDa diya shoshiton ko
unke rahanumaon ke khilaf
aur lete rahe maja
aur yunhi chalta raha chakr
shoshak shoshiton ka har taraf
shoshak chalakiyon par khush hota raha
shoshit apni becharagi par taras khata raha
phir chakha usne svaad khushi ka
aur hans kar varan kiya mrityu ka
pichhe ek aur, phir ek aur
inke rakt ne likha navin kahani
ne bhor ka, nai shuruat ka.
nahin, unhen pata nahin hota
ki unka samucha vyaktitv
ek kuposhit Dhancha maatr hai
jinmen abhav hai bhavnaon ka
kyonki unka pura jivan
bita hai bhay ke saye men
ye saye anekon roop dharkar
bandhak banaye rahe unhen
niymon aur parampara ke naam par
batate rahe ki surakshit hai wo
unke ghere mein bahar ke thapeDon se
ghere se bahar raundh Dalegi duniya unhen
isliye unhen anbhigya rakha gaya
bahari duniya se, gyaan se
jivan ke mool siddhant se
harek shoshak ne svaang racha rakshak ka
ankh munde shoshiton ne vishvas kiya
kyonki ve taiyar the shoshan ke liye
jisne avaz uthaya
shoshkon ne bhiDa diya shoshiton ko
unke rahanumaon ke khilaf
aur lete rahe maja
aur yunhi chalta raha chakr
shoshak shoshiton ka har taraf
shoshak chalakiyon par khush hota raha
shoshit apni becharagi par taras khata raha
phir chakha usne svaad khushi ka
aur hans kar varan kiya mrityu ka
pichhe ek aur, phir ek aur
inke rakt ne likha navin kahani
ne bhor ka, nai shuruat ka.
स्रोत :
रचनाकार : मेधा झा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.