उसकी आवाज़ में कोई गीत नहीं है
पर अनेक गीतों में उसकी आवाज़ है
बहुत-सी आवाज़ों में खोई हुई आवाज़
लता बाई की आवाज़ के ठीक पीछे
वायलिन के इस टुकड़े की उँगली थामे
शुरुआत में बीच में अंत में
किसी को पता नहीं है
पर उसे पता है
स्वरों की इस नदी में
उसकी आवाज़ भी कहीं बह रही है
वह ठीक-ठीक याद कर पाती है
कितनी सुबह लोकल ट्रेन पकड़ी थी उसने
रेकॉर्डिंग के दिन
फिर किस तरह स्टूडियो पहुँची भागते दौड़ते
साज़िंदों की जमावट
रिहर्सल के घंटे
लता बाई का आना
आख़िरकार रेकॉर्डिंग
और फिर लौटना थक कर
(पैसों के लिए एक बार फिर जाना पड़ा था)
लेकिन वह धुन चली आती थी
इनाम की तरह
चक्कर काटती हुई दिमाग़ में
उसे लग जाता था गाना चलेगा
और चला गाना ख़ूब चला
अभी भी लोग ढूँढ़ कर सुनते हैं
दादा ने क्या ट्यून बनाई थी
और लता बाई की उस वक़्त की आवाज़!
कोरस में उभरते और अस्त होते हुए
वहीं कहीं उसकी आवाज़ भी है
गुँथी हुई अनेक आवाज़ों में
एक मौजूद लापता बेचेहरा आवाज़
जिसे इतने सालों बाद
वह ढूँढ़ने की कोशिश करती है
और ढूँढ़ नहीं पाती
uski avaz mein koi geet nahin hai
par anek giton mein uski avaz hai
bahut si avazon mein khoi hui avaz
lata bai ki avaz ke theek pichhe
vayalin ke is tukDe ki ungli thame
shuruat mein beech mein ant mein
kisi ko pata nahin hai
par use pata hai
svron ki is nadi mein
uski avaz bhi kahin bah rahi hai
wo theek theek yaad kar pati hai
kitni subah lokal tren pakDi thi usne
rekaurDing ke din
phir kis tarah stuDiyo pahunchi bhagte dauDte
sajindon ki jamavat
riharsal ke ghante
lata bai ka aana
akhirkar rekaurDing
aur phir lautna thak kar
(paison ke liye ek baar phir jana paDa tha)
lekin wo dhun chali aati thi
inaam ki tarah
chakkar katti hui dimagh mein
use lag jata tha gana chalega
aur chala gana khoob chala
abhi bhi log DhoonDh kar sunte hain
dada ne kya tyoon banai thi
aur lata bai ki us vaqt ki avaz!
koras mein ubharte aur ast hote hue
vahin kahin uski avaz bhi hai
gunthi hui anek avazon men
ek maujud lapata bechehra avaz
jise itne salon baad wo DhunDhne ki koshish karti hai
aur DhoonDh nahin pati
uski avaz mein koi geet nahin hai
par anek giton mein uski avaz hai
bahut si avazon mein khoi hui avaz
lata bai ki avaz ke theek pichhe
vayalin ke is tukDe ki ungli thame
shuruat mein beech mein ant mein
kisi ko pata nahin hai
par use pata hai
svron ki is nadi mein
uski avaz bhi kahin bah rahi hai
wo theek theek yaad kar pati hai
kitni subah lokal tren pakDi thi usne
rekaurDing ke din
phir kis tarah stuDiyo pahunchi bhagte dauDte
sajindon ki jamavat
riharsal ke ghante
lata bai ka aana
akhirkar rekaurDing
aur phir lautna thak kar
(paison ke liye ek baar phir jana paDa tha)
lekin wo dhun chali aati thi
inaam ki tarah
chakkar katti hui dimagh mein
use lag jata tha gana chalega
aur chala gana khoob chala
abhi bhi log DhoonDh kar sunte hain
dada ne kya tyoon banai thi
aur lata bai ki us vaqt ki avaz!
koras mein ubharte aur ast hote hue
vahin kahin uski avaz bhi hai
gunthi hui anek avazon men
ek maujud lapata bechehra avaz
jise itne salon baad wo DhunDhne ki koshish karti hai
aur DhoonDh nahin pati
स्रोत :
रचनाकार : आशुतोष दुबे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.