मैं गाता हूँ
किंतु क्या मैं वास्तव में गाता हूँ
मेरी वाणी ने पहचानी
संघर्षों की दुर्दमताएँ
प्रत्येक पृष्ठ पर सीधी-सादी
हैं मेरी कविताएँ
चकाचौंध में मौन
मग्न जो आनंदों में
ऐसे चिकने-चुपड़े श्रोताओं के सम्मुख
वीणाओं की मीठी स्वर-लहरी के नीचे
नहीं उठाता मैं अपनी कर्कश आवाज़ें
झिलमिल करते किसी मंच पर
मैं अपनी भर्रायी आवाज़ें वहाँ उठाता
जहाँ रोष ने
छल-छंदों ने
अपना घेरा डाला
शापित भूतकाल ने अपने स्वर का
बे-हिसाब अनुचित उपयोग किया है
मैं नहीं मुलम्मा
कविता के प्रेरक तत्त्वों का
मेरी तीखी-पैनी कविता
गढ़ी गई है श्रम के द्वारा
मेहनतकश लोगों
बस तुम मेरे हो
मेरी नाराज़ी का कारण
केवल तुम्हीं समझते हो
मैं सत्य मानता
वह निर्णय जो तुम देते हो
मेरी कविता कभी अवज्ञा
करती नहीं तुम्हारे मन के
भावों की
आशाओं की
मैं निष्ठा से सुनता रहता
हर धड़कन तेरे दिल की।
main gata hoon
kintu kya main vastav mein gata hoon
meri vani ne pahchani
sangharshon ki durdamtayen
pratyek prishth par sidhi sadi
hain meri kavitayen
chakachaundh mein maun
magn jo anandon men
aise chikne chupDe shrotaon ke sammukh
vinaon ki mithi svar lahri ke niche
nahin uthata main apni karkash avazen
jhilmil karte kisi manch par
main apni bharrayi avazen vahan uthata
jahan rosh ne
chhal chhandon ne
apna ghera Dala
shapit bhutakal ne apne svar ka
be hisab anuchit upyog kiya hai
main nahin mulamma
kavita ke prerak tattvon ka
meri tikhi paini kavita
gaDhi gai hai shram ke dvara
mehanatkash logon
bas tum mere ho
meri narazi ka karan
keval tumhin samajhte ho
main satya manata
wo nirnay jo tum dete ho
meri kavita kabhi avagya
karti nahin tumhare man ke
bhavon ki
ashaon ki
main nishtha se sunta rahta
har dhaDkan tere dil ki
main gata hoon
kintu kya main vastav mein gata hoon
meri vani ne pahchani
sangharshon ki durdamtayen
pratyek prishth par sidhi sadi
hain meri kavitayen
chakachaundh mein maun
magn jo anandon men
aise chikne chupDe shrotaon ke sammukh
vinaon ki mithi svar lahri ke niche
nahin uthata main apni karkash avazen
jhilmil karte kisi manch par
main apni bharrayi avazen vahan uthata
jahan rosh ne
chhal chhandon ne
apna ghera Dala
shapit bhutakal ne apne svar ka
be hisab anuchit upyog kiya hai
main nahin mulamma
kavita ke prerak tattvon ka
meri tikhi paini kavita
gaDhi gai hai shram ke dvara
mehanatkash logon
bas tum mere ho
meri narazi ka karan
keval tumhin samajhte ho
main satya manata
wo nirnay jo tum dete ho
meri kavita kabhi avagya
karti nahin tumhare man ke
bhavon ki
ashaon ki
main nishtha se sunta rahta
har dhaDkan tere dil ki
स्रोत :
पुस्तक : एक सौ एक सोवियत कविताएँ (पृष्ठ 55)
रचनाकार : देम्यान बेदनी
प्रकाशन : नेशनल पब्लिशिंग हाउस, दिल्ली
संस्करण : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.