नसीब से ज़रा क्या चूका
ग़रीबी ने लपक लिया
ढूँढ़ता फिर रहा हूँ जवाब दर-ब-दर
मेरे अरमानों का क़ातिल कौन?
औरों की तरह मैं भी
माँ की कोख से ही जन्मा
सिर्फ़ मेरी ज़िंदगी से खिलवाड़ क्यों?
मेरे अरमानों का क़ातिल कौन?
ख़्वाहिशों की दुनिया में
हैसियत के भी कई माप
सपनों में अमीर ग़रीब के फासले क्यों?
मेरे अरमानों का क़ातिल कौन?
हालातों से लड़कर जो बढ़ाए क़दम
बदनसीबी ने घसीटकर दिखाई औक़ात
फिर मेहनत किसकी मोहताज?
मेरे अरमानों का क़ातिल कौन?
जी भर चुका अब मेरा
ग़रीब हूँ ग़रीब ही रहने दो
नहीं करूँगा अब किसी से कोई सवाल।
मेरे अरमानों का क़ातिल कौन?
क़िस्मत ने मौन धर लिया
ज़िंदगी की पटरी चाहे जैसी चले
कहूँगा नहीं रहूँगा मैं अब ख़ामोश।
nasib se zara kya chuka
gharibi ne lapak liya
DhunDhata phir raha hun javab dar ba dar
mere armanon ka qatil kaun?
auron ki tarah main bhi
maan ki kokh se hi janma
sirf meri zindagi se khilvaD kyon?
mere armanon ka qatil kaun?
khvahishon ki duniya men
haisiyat ke bhi kai maap
sapnon mein amir gharib ke phasle kyon?
mere armanon ka qatil kaun?
halaton se laDkar jo baDhaye qadam
badansibi ne ghasitkar dikhai auqat
phir mehnat kiski mohtaj?
mere armanon ka qatil kaun?
ji bhar chuka ab mera
gharib hoon gharib hi rahne do
nahin karunga ab kisi se koi saval.
mere armanon ka qatil kaun?
qismat ne maun dhar liya
zindagi ki patri chahe jaisi chale
kahunga nahin rahunga main ab khamosh.
nasib se zara kya chuka
gharibi ne lapak liya
DhunDhata phir raha hun javab dar ba dar
mere armanon ka qatil kaun?
auron ki tarah main bhi
maan ki kokh se hi janma
sirf meri zindagi se khilvaD kyon?
mere armanon ka qatil kaun?
khvahishon ki duniya men
haisiyat ke bhi kai maap
sapnon mein amir gharib ke phasle kyon?
mere armanon ka qatil kaun?
halaton se laDkar jo baDhaye qadam
badansibi ne ghasitkar dikhai auqat
phir mehnat kiski mohtaj?
mere armanon ka qatil kaun?
ji bhar chuka ab mera
gharib hoon gharib hi rahne do
nahin karunga ab kisi se koi saval.
mere armanon ka qatil kaun?
qismat ne maun dhar liya
zindagi ki patri chahe jaisi chale
kahunga nahin rahunga main ab khamosh.
स्रोत :
रचनाकार : एंजेला एनिमा तिर्की
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.