कोशिश करता हूँ
कि कविताओं के पास रहूँ
...नहीं रह सकता।
पर लौट ही जाता हूँ
यदा-कदा
उनके पास,
उनके साथ रहना
सुखद है।
उपन्यास के पास जाना
सुखद से थोड़ा ज़्यादा।
कविताएँ मुझे पूरा नहीं कर पा रही हैं,
मुझे उपन्यास चाहिए
—बहुत बड़े उपन्यास;
लिखने के लिए ढेर सारे पन्ने चाहिए।
किसी कविता में तुम्हारा वृहत् बिंब नहीं समा रहा
कविताएँ टूट जाती हैं
अपने ही संग्रह में
और संवाद अगर बेहतर हो भी जाएँ तो
काव्य-नाटिकाओं में तुम्हारा आंगिक अभिनय नहीं सधता।
मैं मंच पर तुम्हें सजा नहीं सकता
(ऐसा नहीं कि मैं चाहता नहीं
पर यह असंभव-सा है)
सबके मन में तुम्हारा अलग-अलग बिंब हो
तो बेहतर है।
बहते चले जाना
और कविता का हो जाना, आसान है।
तुम्हें थोड़ा थोड़ा लिखकर
मैं महीनों (वर्षों?) की मेहनत से उपजा उपन्यास चाहता हूँ।
koshish karta hoon
ki kavitaon ke paas rahun
. . . nahin rah sakta.
par laut hi jata hoon
yada kada
unke paas,
unke saath rahna
sukhad hai.
upanyas ke paas jana
sukhad se thoDa zyada.
kavitayen mujhe pura nahin kar pa rahi hain,
mujhe upanyas chahiye
—bahut baDe upanyas;
likhne ke liye Dher sare panne chahiye.
kisi kavita mein tumhara vrihat bimb nahin sama raha
kavitayen toot jati hain
apne hi sangrah mein
aur sanvad agar behtar ho bhi jayen to
kavya natikaon mein tumhara angik abhinay nahin sadhta.
main manch par tumhein saja nahin sakta
(aisa nahin ki main chahta nahin
par ye asambhav sa hai)
sabke man mein tumhara alag alag bimb ho
to behtar hai.
bahte chale jana
aur kavita ka ho jana, asan hai.
tumhein thoDa thoDa likhkar
main mahinon (varshon?) ki mehnat se upja upanyas chahta hoon.
koshish karta hoon
ki kavitaon ke paas rahun
. . . nahin rah sakta.
par laut hi jata hoon
yada kada
unke paas,
unke saath rahna
sukhad hai.
upanyas ke paas jana
sukhad se thoDa zyada.
kavitayen mujhe pura nahin kar pa rahi hain,
mujhe upanyas chahiye
—bahut baDe upanyas;
likhne ke liye Dher sare panne chahiye.
kisi kavita mein tumhara vrihat bimb nahin sama raha
kavitayen toot jati hain
apne hi sangrah mein
aur sanvad agar behtar ho bhi jayen to
kavya natikaon mein tumhara angik abhinay nahin sadhta.
main manch par tumhein saja nahin sakta
(aisa nahin ki main chahta nahin
par ye asambhav sa hai)
sabke man mein tumhara alag alag bimb ho
to behtar hai.
bahte chale jana
aur kavita ka ho jana, asan hai.
tumhein thoDa thoDa likhkar
main mahinon (varshon?) ki mehnat se upja upanyas chahta hoon.
स्रोत :
रचनाकार : जयंत शुक्ला
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.