धूल मेरे चश्में की
जब बेरहम हो चुकी थी,
दरमियाँ ज़माने
और मेरे आ खड़ी थी,
रूमाल घिस के मैंने
आईना चमकाया,
कैसे नज़र उठाऊँ
वक्त पीछे छोड़ आया।
सामने मेरे
रास्ता नहीं रहा था,
पिछे मुड़ के देखूँ
साहस ना हो रहा था,
कुछ कश्मकश
थी दिल में,
मैं डूब भी रहा था
ज़िंदगी का आलम
हाथ छोड़ रहा था।
हिम्मत जुटा के मैंने
आँखो को समझाया
सर को थोड़ा घुमाया
बीता रास्ता दिखाया,
हैरान मैं खड़ा था
ख़ुद में ही मैं कहाँ था
गुज़रा मेरा ज़माना
क्यू मुझ पे हस रहा था?
जाने कौन-सी तड़प में
लालसा, लोभ और
चंद तारों के भरम में,
तन्हा निकल के आया
उम्र को दगा दे आया,
बचपन का वो लड़कपन
मनमौजियाँ यौवन की
सब खाखकर मैं आया
मैं कितना दूर चला आया।
मझधार में खड़ा हूँ
पछतावे में जी रहा हूँ
वक्त की गिरिफ़्त का मैं
शिकार बन रहा हूँ,
खाली हथेली मेरी
भिक्षा को खोल दी है
पाने को थोड़ी
फ़ुरसत जो मुझे
अभी तक मिली नहीं है।
dhool mere chashmen ki
jab beraham ho chuki thi,
darmiyan zamane
aur mere aa khaDi thi,
rumal ghis ke mainne
aina chamkaya,
kaise nazar uthaun
vakt pichhe chhoD aaya.
samne mere
rasta nahin raha tha,
pichhe muD ke dekhun
sahas na ho raha tha,
kuch kashmakash
thi dil mein,
main Doob bhi raha tha
zindagi ka aalam
haath chhoD raha tha.
himmat juta ke mainne
ankho ko samjhaya
sar ko thoDa ghumaya
bita rasta dikhaya,
hairan main khaDa tha
khud mein hi main kahan tha
guzra mera zamana
kyu mujh pe has raha tha?
jane kaun si taDap mein
lalsa, lobh aur
chand taron ke bharam mein,
tanha nikal ke aaya
umr ko daga de aaya,
bachpan ka wo laDakpan
manmaujiyan yauvan ki
sab khakhkar main aaya
main kitna door chala aaya.
majhdhar mein khaDa hoon
pachhtave mein ji raha hoon
vakt ki girapht ka main
shikar ban raha hoon,
khali hatheli meri
bhiksha ko khol di hai
pane ko thoDi
fursat jo mujhe
abhi tak mili nahin hai.
dhool mere chashmen ki
jab beraham ho chuki thi,
darmiyan zamane
aur mere aa khaDi thi,
rumal ghis ke mainne
aina chamkaya,
kaise nazar uthaun
vakt pichhe chhoD aaya.
samne mere
rasta nahin raha tha,
pichhe muD ke dekhun
sahas na ho raha tha,
kuch kashmakash
thi dil mein,
main Doob bhi raha tha
zindagi ka aalam
haath chhoD raha tha.
himmat juta ke mainne
ankho ko samjhaya
sar ko thoDa ghumaya
bita rasta dikhaya,
hairan main khaDa tha
khud mein hi main kahan tha
guzra mera zamana
kyu mujh pe has raha tha?
jane kaun si taDap mein
lalsa, lobh aur
chand taron ke bharam mein,
tanha nikal ke aaya
umr ko daga de aaya,
bachpan ka wo laDakpan
manmaujiyan yauvan ki
sab khakhkar main aaya
main kitna door chala aaya.
majhdhar mein khaDa hoon
pachhtave mein ji raha hoon
vakt ki girapht ka main
shikar ban raha hoon,
khali hatheli meri
bhiksha ko khol di hai
pane ko thoDi
fursat jo mujhe
abhi tak mili nahin hai.
स्रोत :
रचनाकार : सारिका सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.