माँ तो रही नहीं अब
पर आँगन में लगा पीपल
अब भी माँ की तरह ही
तेज धूप में
आँचल की छाँह देता है।
सहलाती है उसकी ठंडी हवा
और हर लेती है मेरे दुख-दर्द
माँ की तरह ही...
सुनता है वह
दिन भर की व्यथा-कथा
पूरी तन्मयता
और ख़ामोशी से।
गिरा देता है कभी कोई पत्ता
गहरी उदासी में
जैसे माँ चूम कर माथा
उड़ा देती थी हर गम
‘ठीक हो जाएगा सब’ कह कर।
‘ठीक हो जाएगा सब’ की आश्वस्ति के साथ
उठा लेती हूँ मैं
पीपल से झड़ा वह पत्ता
लगा लेती हूँ माथ से
कि माँ तो रही नहीं अब।
maan to rahi nahin ab
par angan mein laga pipal
ab bhi maan ki tarah hi
tej dhoop men
anchal ki chhaanh deta hai.
sahlati hai uski thanDi hava
aur har leti hai mere dukh dard
maan ki tarah hi. . .
sunta hai wo
din bhar ki vyatha katha
puri tanmayta
aur khamoshi se.
gira deta hai kabhi koi patta
gahri udasi men
jaise maan choom kar matha
uDa deti thi har gam
‘theek ho jayega sab’ kah kar.
‘theek ho jayega sab’ ki ashvasti ke saath
utha leti hoon main
pipal se jhaDa wo patta
laga leti hoon maath se
ki maan to rahi nahin ab.
maan to rahi nahin ab
par angan mein laga pipal
ab bhi maan ki tarah hi
tej dhoop men
anchal ki chhaanh deta hai.
sahlati hai uski thanDi hava
aur har leti hai mere dukh dard
maan ki tarah hi. . .
sunta hai wo
din bhar ki vyatha katha
puri tanmayta
aur khamoshi se.
gira deta hai kabhi koi patta
gahri udasi men
jaise maan choom kar matha
uDa deti thi har gam
‘theek ho jayega sab’ kah kar.
‘theek ho jayega sab’ ki ashvasti ke saath
utha leti hoon main
pipal se jhaDa wo patta
laga leti hoon maath se
ki maan to rahi nahin ab.
स्रोत :
रचनाकार : अलका सिन्हा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.