घर के भेदी बुन रहे षडयंत्रों का जाल
लोकतंत्र ही बन गया लोकतंत्र का काल
सना हुआ है रक्त से भारत माँ का भाल
लोकतंत्र ही बन गया लोकतंत्र का काल
टुच्चे नेता राष्ट्र की पगड़ी रहे उछाल
लोकतंत्र ही बन गया लोकतंत्र का काल
जाति-धर्म की रार में जीना हुआ मुहाल
लोकतंत्र ही बन गया लोकतंत्र का काल
कहीं खिंची तलवार है कहीं तनी है नाल
लोकतंत्र ही बन गया लोकतंत्र का काल
भ्रष्टाचारी कर रहे भारत को कंगाल
लोकतंत्र ही बन गया लोकतंत्र का काल
गाँव-गली में चौक पर गुंडे करें बवाल
लोकतंत्र ही बन गया लोकतंत्र का काल
कोई भूखा मर रहा कोई काटे माल
लोकतंत्र ही बन गया लोकतंत्र का काल
करना-धरना कुछ नहीं सिर्फ़ बजाते गाल
लोकतंत्र ही बन गया लोकतंत्र का काल
ghar ke bhedi bun rahe shaDyantron ka jaal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
sana hua hai rakt se bharat maan ka bhaal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
tuchche neta raashtr ki pagDi rahe uchhaal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
jati dharm ki raar mein jina hua muhal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
kahin khinchi talvar hai kahin tani hai naal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
bhrashtachari kar rahe bharat ko kangal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
gaanv gali mein chauk par gunDe karen baval
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
koi bhukha mar raha koi kate maal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
karna dharna kuch nahin sirf bajate gaal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
ghar ke bhedi bun rahe shaDyantron ka jaal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
sana hua hai rakt se bharat maan ka bhaal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
tuchche neta raashtr ki pagDi rahe uchhaal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
jati dharm ki raar mein jina hua muhal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
kahin khinchi talvar hai kahin tani hai naal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
bhrashtachari kar rahe bharat ko kangal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
gaanv gali mein chauk par gunDe karen baval
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
koi bhukha mar raha koi kate maal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
karna dharna kuch nahin sirf bajate gaal
loktantr hi ban gaya loktantr ka kaal
स्रोत :
रचनाकार : वीरेंद्र वत्स
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.