आप मुख्यमंत्री हैं! अरे मैंने समझा आप संन्यासी हैं।
मुझे लगा आप एक नगर बसाएँगे परम अति सुंदर,
हम पत्तों की तरह हिलते हुए लीन हो जाएँगे
रिक्शेवालों से क्षमा माँगेंगे पाँव पकड़कर
किसान जनों से प्रसाद के लिए थोड़ा-सा आटा ले लेंगे।
आप मानेंगे सभी बच्चे समान इज़्ज़त के हक़दार हैं और
कभी बाँसुरी को हाथ नहीं लगाएँगे।
आपके वस्त्र बहुत मैले हो चुके हैं।
हम उन्हें बदलेंगे तो ज़्यादा खरोंचें आएँगी।
क्षमा कीजिएगा, मैं बहक गया हूँ।
आप मुख्यमंत्री कैसे हो सकते हैं
और संन्यासी तो कोई और
तबियत के लोग होते हैं।
aap mukhymantri hain! are mainne samjha aap sannyasi hain.
mujhe laga aap ek nagar basayenge param ati sundar,
hum patton ki tarah hilte hue leen ho jayenge
rikshevalon se kshama mangenge paanv pakaDkar
kisan janon se parsad ke liye thoDa sa aata le lenge.
aap manenge sabhi bachche saman izzat ke haqdar hain aur
kabhi bansuri ko haath nahin lagayenge.
aapke vastra bahut maile ho chuke hain.
hum unhen badlenge to zyada kharonchen ayengi.
kshama kijiyega, main bahak gaya hoon.
aap mukhymantri kaise ho sakte hain
aur sannyasi to koi aur
tabiyat ke log hote hain.

स्रोत :
पुस्तक : पानी है तो फूटेगा (पृष्ठ 24)
रचनाकार : राजेश सकलानी
प्रकाशन : परिकल्पना प्रकाशन
संस्करण : 2019
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.