ब्रह्माँड की रचना
कई हज़ार वर्षों के बाद
माँ को आई है हल्की-सी नींद
शाँत रहिए
चुप रहिए
बनाए रखिए निस्तब्धता
निस्तब्धता को करिए
और भी निस्तब्ध
एक तिनका भी अगर खिसका
एक हरी घास ने भी अगर ली
हल्की-सी साँस
टूट जाएगी माँ की नींद
स्फटिक से भी अधिक पारदर्शी
और आबदार माँ की नींद
सूरज को कहिए
कुछ दिनों के लिए त्याग दें ऊष्मा
कहिए पृथ्वी को
स्थगित रखें कुछ दिन
धूरी पर घूमना
जितनी नई कलियाँ हैं वृंत पर
हल्के से तोड़ लीजिए
चटकेंगी तो चटक जाएगी
माँ की नींद
ओस की बूँदों को कहिए
पत्तों पर गिरने के पल
न करें कोई आवाज़
चर-अचर शाँत रहिए
हजारों वर्षों के बाद
माँ की पलकों में
उतरी नींद को
कृपया तोड़िए नहीं
ब्रह्माँड को रचते-गढ़ते
थक गई है माँ
थोड़ा विश्राम दीजिए।
brahmanD ki rachna
kai hazar varshon ke baad
maan ko aai hai halki si neend
shaant rahiye
chup rahiye
banaye rakhiye nistabdhata
nistabdhata ko kariye
aur bhi nistabdh
ek tinka bhi agar khiska
ek hari ghaas ne bhi agar li
halki si saans
toot jayegi maan ki neend
sphatik se bhi adhik paradarshi
aur abadar maan ki neend
suraj ko kahiye
kuch dinon ke liye tyaag den uushma
kahiye prithvi ko
sthagit rakhen kuch din
dhuri par ghumna
jitni nai kaliyan hain vrint par
halke se toD lijiye
chatkengi to chatak jayegi
maan ki neend
os ki bundon ko kahiye
patton par girne ke pal
na karen koi avaz
char achar shaant rahiye
hajaron varshon ke baad
maan ki palkon men
utri neend ko
kripaya toDiye nahin
brahmanD ko rachte gaDhte
thak gai hai maan
thoDa vishram dijiye.
brahmanD ki rachna
kai hazar varshon ke baad
maan ko aai hai halki si neend
shaant rahiye
chup rahiye
banaye rakhiye nistabdhata
nistabdhata ko kariye
aur bhi nistabdh
ek tinka bhi agar khiska
ek hari ghaas ne bhi agar li
halki si saans
toot jayegi maan ki neend
sphatik se bhi adhik paradarshi
aur abadar maan ki neend
suraj ko kahiye
kuch dinon ke liye tyaag den uushma
kahiye prithvi ko
sthagit rakhen kuch din
dhuri par ghumna
jitni nai kaliyan hain vrint par
halke se toD lijiye
chatkengi to chatak jayegi
maan ki neend
os ki bundon ko kahiye
patton par girne ke pal
na karen koi avaz
char achar shaant rahiye
hajaron varshon ke baad
maan ki palkon men
utri neend ko
kripaya toDiye nahin
brahmanD ko rachte gaDhte
thak gai hai maan
thoDa vishram dijiye.
स्रोत :
रचनाकार : सुरेंद्र स्निग्ध
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.