ये ज़ालिम लगातार झूठ बोलेंगे
और तुम्हें लूटते रहेंगे
ये कभी बाज नहीं आएँगे
ख़ुशियों के रिपोर्टर ने बताया
हमारी ताक़त खुशियों में छिपी रहती है
ख़ुशी-ख़ुशी में नज़रें बचा कर ही
हमें इकट्ठा होना है
यह चूक जाने से हम कमज़ोर पड़ जाते हैं
दुख अपनी जगह है पर वह इतना ना दिखे
कि आदत की तरह साथ-साथ रहने लगे
और दुश्मनों को अपनी चुगली करे
जो हमें पुचकारने चला आए
यह आपस की बात है, हम कभी अकेले नहीं पड़ते
ख़ुशियों के शोर में ज़्यादा आवाज़ें
अपनी ही तरफ़ हैं
कोई मौक़ा ऐसा नहीं जो कोई हमसे
ज़्यादा खेलता हो।
ye zalim lagatar jhooth bolenge
aur tumhein lutte rahenge
ye kabhi baaj nahin ayenge
khushiyon ke riportar ne bataya
hamari taqat khushiyon mein chhipi rahti hai
khushi khushi mein nazren bacha kar hi
hamein ikattha hona hai
ye chook jane se hum kamzor paD jate hain
dukh apni jagah hai par wo itna na dikhe
ki aadat ki tarah saath saath rahne lage
aur dushmnon ko apni chugli kare
jo hamein puchkarne chala aaye
ye aapas ki baat hai, hum kabhi akele nahin paDte
khushiyon ke shor mein zyada avazen
apni hi taraf hain
koi mauqa aisa nahin jo koi hamse
zyada khelta ho.
ye zalim lagatar jhooth bolenge
aur tumhein lutte rahenge
ye kabhi baaj nahin ayenge
khushiyon ke riportar ne bataya
hamari taqat khushiyon mein chhipi rahti hai
khushi khushi mein nazren bacha kar hi
hamein ikattha hona hai
ye chook jane se hum kamzor paD jate hain
dukh apni jagah hai par wo itna na dikhe
ki aadat ki tarah saath saath rahne lage
aur dushmnon ko apni chugli kare
jo hamein puchkarne chala aaye
ye aapas ki baat hai, hum kabhi akele nahin paDte
khushiyon ke shor mein zyada avazen
apni hi taraf hain
koi mauqa aisa nahin jo koi hamse
zyada khelta ho.
स्रोत :
पुस्तक : पानी है तो फूटेगा (पृष्ठ 11)
रचनाकार : राजेश सकलानी
प्रकाशन : परिकल्पना प्रकाशन
संस्करण : 2019
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.