जब आँख लगने के साथ ही
नींद की सीढ़ियो से
चुपचाप उतर आती थीं माँ
उतरती थीं
सिर्फ़ उतरने की रेखाओं की तरह
इन्हीं रेखाओं से
एक आकृति गढ़ने का
करता था असफल प्रयास
आते हैं
कुछ दूसरे ढंग के सपने
वर्षों ढह चुकी
बाँस, फूस और मिट्टी की दीवारों पर
एक पुराना कैलेंडर टाँगने की
निरंतर कोशिशों के सपने
कैलेंडर में उभरती तस्वीर
माँ के चेहरे से मिलती-जुलती होती है
शायद इसलिए
उसे टाँगने की कोशिशों के आते हैं सपने
निरर्थक कोशिशें
जोरों की हवाओं के साथ
फट्-चिट् कर उड़ते हुए कैलेंडर के सपने
ये सपने अब बार-बार आते हैं
ढही हुई वही कच्ची दीवार
फटा हुआ कैलेंडर
अनपहचाने से चेहरे
वही जोरों की हवाएँ
फट्-चिट् कर बिखरती हुई
रंग-रेखाएँ
अत्यंत निर्धन थे हम
घर में नहीं है किसी का फोटोग्राफ़
न माँ का
न पिता का
उनमें से अब किन्हीं का चेहरा नहीं है याद
भागती हुई रेखाएँ
साथ लेकर भाग गई सब कुछ
सपनों में जिस कैलेंडर को टाँगने की
मैं निरंतर करता हूँ जिद
जिसकी तस्वीर भी
वर्षा की धूल और धूप और हवाओं की मार से
हो गई है विलुप्त
प्रेमिकाओं के चेहरों से
कब तलक खोजता रहूँगा
विलुप्त हुआ माँ का चेहरा
कब तलक सूखी रहेगी
सपनों की नदी
जीवन की आधी नदी पार कर जाने के बावजूद
यह खोज
आज भी जारी है
कुछ अधिक ही आवेग से
कुछ अधिक ही आवेश से।
jab ankh lagne ke saath hi
neend ki siDhiyo se
chupchap utar aati theen maan
utarti theen
sirf utarne ki rekhaon ki tarah
inhin rekhaon se
ek akriti gaDhne ka
karta tha asaphal prayas
aate hain
kuch dusre Dhang ke sapne
varshon Dhah chuki
baans, phoos aur mitti ki divaron par
ek purana kailenDar tangane ki
nirantar koshishon ke sapne
kailenDar mein ubharti tasvir
maan ke chehre se milti julti hoti hai
shayad isliye
use tangane ki koshishon ke aate hain sapne
nirarthak koshishen
joron ki havaon ke saath
phat chit kar uDte hue kailenDar ke sapne
ye sapne ab baar baar aate hain
Dhahi hui vahi kachchi divar
phata hua kailenDar
anapahchane se chehre
vahi joron ki havayen
phat chit kar bikharti hui
rang rekhayen
atyant nirdhan the hum
ghar mein nahin hai kisi ka photograf
na maan ka
na pita ka
unmen se ab kinhin ka chehra nahin hai yaad
bhagti hui rekhayen
saath lekar bhaag gai sabkuchh
sapnon mein jis kailenDar ko tangane ki
main nirantar karta hoon jid
jiski tasvir bhi
varsha ki dhool aur dhoop aur havaon ki maar se
ho gai hai vilupt
premikaon ke chehron se
kab talak khojta rahunga
vilupt hua maan ka chehra
kab talak sukhi rahegi
sapnon ki nadi
jivan ki aadhi nadi paar kar jane ke bavjud
ye khoj
aaj bhi jari hai
kuch adhik hi aaveg se
kuch adhik hi avesh se.
jab ankh lagne ke saath hi
neend ki siDhiyo se
chupchap utar aati theen maan
utarti theen
sirf utarne ki rekhaon ki tarah
inhin rekhaon se
ek akriti gaDhne ka
karta tha asaphal prayas
aate hain
kuch dusre Dhang ke sapne
varshon Dhah chuki
baans, phoos aur mitti ki divaron par
ek purana kailenDar tangane ki
nirantar koshishon ke sapne
kailenDar mein ubharti tasvir
maan ke chehre se milti julti hoti hai
shayad isliye
use tangane ki koshishon ke aate hain sapne
nirarthak koshishen
joron ki havaon ke saath
phat chit kar uDte hue kailenDar ke sapne
ye sapne ab baar baar aate hain
Dhahi hui vahi kachchi divar
phata hua kailenDar
anapahchane se chehre
vahi joron ki havayen
phat chit kar bikharti hui
rang rekhayen
atyant nirdhan the hum
ghar mein nahin hai kisi ka photograf
na maan ka
na pita ka
unmen se ab kinhin ka chehra nahin hai yaad
bhagti hui rekhayen
saath lekar bhaag gai sabkuchh
sapnon mein jis kailenDar ko tangane ki
main nirantar karta hoon jid
jiski tasvir bhi
varsha ki dhool aur dhoop aur havaon ki maar se
ho gai hai vilupt
premikaon ke chehron se
kab talak khojta rahunga
vilupt hua maan ka chehra
kab talak sukhi rahegi
sapnon ki nadi
jivan ki aadhi nadi paar kar jane ke bavjud
ye khoj
aaj bhi jari hai
kuch adhik hi aaveg se
kuch adhik hi avesh se.
स्रोत :
रचनाकार : सुरेंद्र स्निग्ध
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.