कविता रोटी नहीं बन सकती, पाठकों की
मगर बन सकती है संवाद, मूक नाटकों की
जिसे अंधे बन देखे जा रहे थे
गूँगे बन फेके जा रहे थे।
कविता हल नहीं बन सकती, किसानों का
मगर बहला सकती है दिल, मेहमानों का
जिससे एक वक़्त की रोटी बचाई जा सके
और अपने वफ़ादार जानवरों को भी खिलाई जा सके।
कविता रंगीन साड़ी नहीं बन सकती, किसी बेवा की
जिसने तन-मन-धन से, पूरे घर की सेवा की
पर बन सकती है एकाकी जीवन की हमदम
दूर कर सकती है कुछ आँसू उसके कुछ ग़म।
कविता तलवार नहीं बन सकती, योद्धाओं की
मगर बन सकती है ताक़त, उनकी भुजाओं की
जिसे देखा जा सकता है युद्ध के मैदानों में
वीर रस से उफनते गानों में।
कविता फ़स्ल नहीं बन सकती, खेतों की
मगर सवाल कर सकती है, खाली पेटों की
जिसे साहूकार ऐंठे जा रहे हैं
ग़रीब फुटपाथ पर लेटे जा रहे हैं।
कविता आग नहीं बन सकती, चूल्हों की
मगर लोरी बन साथ दे सकती है झूलों की
जिससे बच्चे को भूखे पेट सुलाया जा सके
कुछ देर और फुसलाया जा सके।
kavita roti nahin ban sakti, pathkon ki
magar ban sakti hai sanvad,mook natkon ki
jise andhe ban dekhe ja rahe the
gunge ban pheke ja rahe the.
kavita hal nahin ban sakti, kisanon ki
magar bahla sakti hai dil,mehmanon ki
jisse ek vakt ki roti bachai ja sake
aur apne vafadar janvaron ko bhi khilai ja sake.
kavita rangin saDi nahin ban sakti,kisi beva ki
jisne tan man dhan se, pure ghar ki seva ki
par ban sakti hai ekaki jivan ki hamdam
door kar sakti hai kuch ansu uske kuch gam.
kavita talvar nahin ban sakti, yoddhaon ki
magar ban sakti hai taqat, unke bhujaon ki
jise dekha ja sakta hai yudh ke maidanon men
veer ras se uphante ganon mein.
kavita fasl nahin ban sakti, kheton ki
magar saval kar sakti hai,khali peton ki
jise sahukar ainthe ja rahe hain
gharib phutpat par lete ja rahe hain.
kavita aag nahin ban sakti, chulhon ki
magar lori ban saath de sakti hai jhulon ki
jisse bachche ko bhukhe pet sulaya ja sake
kuch der aur,phuslaya ja sake.

स्रोत :
रचनाकार : बच्चा लाल 'उन्मेष'
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.