सड़क पर चलती हुई
या कुछ बड़बड़ाती हुई
एक पागल स्त्री रोज़ मिलती है
जैसे सड़क ही उसका घर है
और आसमान उसकी छत
मैं भी पागलों की तरह देखता उसे
उसके शब्दों को समझने की कोशिश में
रोज़ ओझल हो जाती है
कभी-कभी लगता है
मेरे जैसे पुरुष को दे रही होगी गाली
या कोसती होगी इस समाज को
जहाँ बलात्कार की हद तक चले जाते हैं
स्त्रियों को पागल कर देते हैं
मैंने पहली बार उसे विशाल पंडाल में देखा
जहाँ कथावाचिका
शांति और ख़ुशी का रहस्य समझा रही थी
और पागल स्त्री ज़ोर-ज़ोर से चिल्ला रही थी
मुझे भी बैठने के लिए कुर्सी दो
कथावाचिका का चेहरा
अशांति से क्रूर हो गया
उसे बाहर निकालने का आदेश दिया
saDak par chalti hui
ya kuch baDbaDati hui
ek pagal stri roz milti hai
jaise saDak hi uska ghar hai
aur asman uski chhat
main bhi paglon ki tarah dekhta use
uske shabdon ko samajhne ki koshish men
roz ojhal ho jati hai
kabhi kabhi lagta hai
mere jaise purush ko de rahi hogi gali
ya kosti hogi is samaj ko
jahan balatkar ki had tak chale jate hain
striyon ko pagal kar dete hain
mainne pahli baar use vishal panDal mein dekha
jahan kathavachika
shanti aur khushi ka rahasya samjha rahi thi
aur pagal stri zor zor se chilla rahi thi
mujhe bhi baithne ke liye kursi do
kathavachika ka chehra
ashanti se kroor ho gaya
use bahar nikalne ka adesh diya
saDak par chalti hui
ya kuch baDbaDati hui
ek pagal stri roz milti hai
jaise saDak hi uska ghar hai
aur asman uski chhat
main bhi paglon ki tarah dekhta use
uske shabdon ko samajhne ki koshish men
roz ojhal ho jati hai
kabhi kabhi lagta hai
mere jaise purush ko de rahi hogi gali
ya kosti hogi is samaj ko
jahan balatkar ki had tak chale jate hain
striyon ko pagal kar dete hain
mainne pahli baar use vishal panDal mein dekha
jahan kathavachika
shanti aur khushi ka rahasya samjha rahi thi
aur pagal stri zor zor se chilla rahi thi
mujhe bhi baithne ke liye kursi do
kathavachika ka chehra
ashanti se kroor ho gaya
use bahar nikalne ka adesh diya
स्रोत :
रचनाकार : अमर दलपुरा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.