आज मुझे अच्छा लग रहा है
बहुत-बहुत अच्छा
मैंने अपने कान से बातें कीं
जिनसे आज तक कभी नहीं कीं
मैंने कहा—
सुनो, तुम मेरे हो
आज मेरी सुनो
दुनिया भर की सुनते हो
आज मेरी सुनो
जो मैं सुनना चाहती हूँ
वही सुना करो
सामने तरह-तरह के भोजन पड़े हों
मेरा स्वाद वही खाता है
जो खाना चाहता है
अगर कुछ और खाना पड़ भी जाए तो
दवा की तरह गटक जाता है
मेरी नाक
कचरे के ढेर से
दूर रहना जानती है
तुम क्यों कचरे का डब्बा बन बैठे हो
सुन लेते हो सब कुछ
तुम्हें मालूम है
तुम्हारा सुना—मेरी कोशिकाओं में
मेरी ग्रंथियों में जम जाता है
फिर दुखता है
बहुत दुखता है
बार-बार दुखता है
पिघल कर बह नहीं जाता
आँसुओं के साथ भी नहीं
मत पहुँचाया करो उसे भीतर तक
प्लीज़...
डरावना और वीभत्स देखकर
आँखें बंद हो जाती हैं
अपने आप
क्या आग को उठा लेते हैं हाथ
हाथों में
फिर तुम क्यों सुन लेते हो सब कुछ
जो बोलता है
अपनी ज़ुबान से बोलता है
अपनी बातें
अपनी मनपसंद बातें
अपनी सोच से बोलता है
ठीक है ज़्यादातर बिना सोचे ही बोलता है
तुम क्यों नहीं सिर्फ़ वही सुनते
जो तुम्हें पसंद है
सबका बोला सब कुछ क्यों सुन लेते हो
कहो आज तुम ही कुछ कहो
और मैं सुनूँ।
aaj mujhe achchha lag raha hai
bahut bahut achchha
mainne apne kan se baten keen
jinse aaj tak kabhi nahin keen
mainne kaha—
suno, tum mere ho
aj meri suno
duniya bhar ki sunte ho
aj meri suno
jo main sunna chahti hoon
wahi suna karo
samne tarah tarah ke bhojan paDe hon
mera swad wahi khata hai
jo khana chahta hai
agar kuch aur khana paD bhi jaye to
dawa ki tarah gatak jata hai
meri nak
kachre ke Dher se
door rahna janti hai
tum kyon kachre ka Dabba ban baithe ho
sun lete ho sab kuch
tumhein malum hai
tumhara suna—meri koshikaon mein
meri granthiyon mein jam jata hai
phir dukhta hai
bahut dukhta hai
bar bar dukhta hai
pighal kar bah nahin jata
ansuon ke sath bhi nahin
mat pahunchaya karo use bhitar tak
pleez
Darawna aur wibhats dekhkar
ankhen band ho jati hain
apne aap
kya aag ko utha lete hain hath
hathon mein
phir tum kyon sun lete ho sab kuch
jo bolta hai
apni zuban se bolta hai
apni baten
apni manapsand baten
apni soch se bolta hai
theek hai zyadatar bina soche hi bolta hai
tum kyon nahin sirf wahi sunte
jo tumhein pasand hai
sabka bola sab kuch kyon sun lete ho
kaho aaj tum hi kuch kaho
aur main sunun
aaj mujhe achchha lag raha hai
bahut bahut achchha
mainne apne kan se baten keen
jinse aaj tak kabhi nahin keen
mainne kaha—
suno, tum mere ho
aj meri suno
duniya bhar ki sunte ho
aj meri suno
jo main sunna chahti hoon
wahi suna karo
samne tarah tarah ke bhojan paDe hon
mera swad wahi khata hai
jo khana chahta hai
agar kuch aur khana paD bhi jaye to
dawa ki tarah gatak jata hai
meri nak
kachre ke Dher se
door rahna janti hai
tum kyon kachre ka Dabba ban baithe ho
sun lete ho sab kuch
tumhein malum hai
tumhara suna—meri koshikaon mein
meri granthiyon mein jam jata hai
phir dukhta hai
bahut dukhta hai
bar bar dukhta hai
pighal kar bah nahin jata
ansuon ke sath bhi nahin
mat pahunchaya karo use bhitar tak
pleez
Darawna aur wibhats dekhkar
ankhen band ho jati hain
apne aap
kya aag ko utha lete hain hath
hathon mein
phir tum kyon sun lete ho sab kuch
jo bolta hai
apni zuban se bolta hai
apni baten
apni manapsand baten
apni soch se bolta hai
theek hai zyadatar bina soche hi bolta hai
tum kyon nahin sirf wahi sunte
jo tumhein pasand hai
sabka bola sab kuch kyon sun lete ho
kaho aaj tum hi kuch kaho
aur main sunun
स्रोत :
रचनाकार : निर्मला तोदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.