जिम, इस तरफ़ बढाना अपना पंजा प्यारा-प्यारा,
अब तक कभी नहीं देखा है पंजा ऐसा सुंदर,
आओ, जब तक चाँद गगन में तब तक दोनों मिलकर भूँकें,
इस सुहावने और शांत मौसम पर।
जिम, इस तरफ़ बढ़ाना अपना पंजा प्यारा-प्यारा!
प्यारे दोस्त, मुझे चाट मत, मुझमें क्या है,
आओ, कोशिश करें, समझ लें कुछ बातें साधारण,
तुम्हें पता है नहीं कि जीवन क्या है, जीना क्या है,
क्यों जीने के योग्य हुआ करता है जीवन।
बहुत भला है और ख्यात भी तेरा स्वामी,
बहुत अथिति आया करते हैं उसके घर पर,
वे सहलाते मख़मल-जैसे बाल तुम्हारे,
अधरों पर मुसकान धारकर।
तुम विश्वस्त, बड़े ही भले और भोले हो,
श्वान रूप में मायावी सौंदर्य तुम्हारा छूता मन को,
कोई चाहे या कि न चाहे, तुम तो पूछे बिना किसी से
सदा नशे में धुत्त दोस्त की तरह चूमते हो हर जन को।
प्यारे जिम आया करते हैं जाने कितने
मित्र तुम्हारे घर में अक्सर,
किंतु कभी क्या वह दुखियारी
आई भी है राह भूलकर।
तुम्हें रहे विश्वास एक दिन वह आएगी
जब मैं होऊँगा अनुपस्थित,
तब उसकी आँखों में झाँक, चूम लेना उसका करतल,
क्योंकि सभी कुछ हुए-अनहुए का दोषी मैं ही हूँ निश्चित।
1. कचालोव (1875-1948) प्रसिद्ध रूसी अभिनेता थे।
jim, is taraf baDhana apna panja pyara pyara,
ab tak kabhi nahin dekha hai panja aisa sundar,
aao, jab tak chaand gagan mein tab tak donon milkar bhunken,
is suhavne aur shaant mausam par.
jim, is taraf baDhana apna panja pyara pyara!
pyare dost, mujhe chaat mat, mujhmen kya hai,
aao, koshish karen, samajh len kuch baten sadharan,
tumhein pata hai nahin ki jivan kya hai, jina kya hai,
kyon jine ke yogya hua karta hai jivan.
bahut bhala hai aur khyaat bhi tera svami,
bahut athiti aaya karte hain uske ghar par,
ve sahlate makhmal jaise baal tumhare,
adhron par muskan dharkar.
tum vishvast, baDe hi bhale aur bhole ho,
shvaan roop mein mayavi saundarya tumhara chhuta man ko,
koi chahe ya ki na chahe, tum to puchhe bina kisi se
sada nashe mein dhutt dost ki tarah chumte ho har jan ko.
pyare jim aaya karte hain jane kitne
mitr tumhare ghar mein aksar,
kintu kabhi kya wo dukhiyari
aai bhi hai raah bhulkar.
tumhein rahe vishvas ek din wo ayegi
jab main hounga anupasthit,
tab uski ankhon mein jhaank, choom lena uska kartal,
kyonki sabhi kuch hue anahue ka doshi main hi hoon nishchit.
1. kachalov (1875 1948) prasiddh rusi abhineta the.

स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक रूसी कविताएँ-1 (पृष्ठ 111)
संपादक : नामवर सिंह
रचनाकार : सर्गेई येसेनिन
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.