जागरण करती है वह जोगन
गहन निद्रा में भी
निद्रागस्त होना भी चाहे तो
चेतना सोने नहीं देती
हरीतिमा त्यक्त कर
लतामंडल का परित्याग कर
गमन करती है वह
धवलगिरि की ओर
देह के गिर्द है काला तमस
मानो, प्राणवायु प्रतिक्षण
आग्नेय मंत्रों का उच्चारण करती हो
आख़िर, बंधन में जकड़ी है जोगन
काया की मिथ्या रचना के
अटल मृत्यु की अभ्यर्थना
उसको प्रमुदित करती है
बैठी है वह चेतना के प्रकाश में
लेकिन, विचार बाधाएँ हैं
जो प्रकाश को
अमूर्त, निभृत, निर्विचार की ज़मीन तक
पहुँचने नहीं देते
लेकिन, जोगन निराश नहीं है
जानती है वह कि
प्रकृति निर्वात रखना नहीं जानती
और पात्रता आते ही
वह उसको पूर्ण कर देगी
jagaran karti hai wo jogan
gahan nidra mein bhi
nidragast hona bhi chahe to
chetna sone nahin deti
haritima tyakt kar
latamanDal ka parityag kar
gaman karti hai wo
dhavalagiri ki or
deh ke gird hai kala tamas
manon, pranavayu pratikshan
agney mantron ka uchcharan karti ho
akhir, bandhan mein jakDi hai jogan
kaya ki mithya rachna ke
atal mirtyu ki abhyarthana
usko pramudit karti hai
baithi hai wo chetna ke parkash men
lekin, vichar badhayen hain
jo parkash ko
amurt, nibhrt, nirvichar ki zamin tak
pahunchne nahin dete
lekin, jogan nirash nahin hai
janti hai wo ki
prakrti nirvat rakhna nahin janti
aur, patrata aate hi
wo usko poorn kar degi
jagaran karti hai wo jogan
gahan nidra mein bhi
nidragast hona bhi chahe to
chetna sone nahin deti
haritima tyakt kar
latamanDal ka parityag kar
gaman karti hai wo
dhavalagiri ki or
deh ke gird hai kala tamas
manon, pranavayu pratikshan
agney mantron ka uchcharan karti ho
akhir, bandhan mein jakDi hai jogan
kaya ki mithya rachna ke
atal mirtyu ki abhyarthana
usko pramudit karti hai
baithi hai wo chetna ke parkash men
lekin, vichar badhayen hain
jo parkash ko
amurt, nibhrt, nirvichar ki zamin tak
pahunchne nahin dete
lekin, jogan nirash nahin hai
janti hai wo ki
prakrti nirvat rakhna nahin janti
aur, patrata aate hi
wo usko poorn kar degi
स्रोत :
रचनाकार : अनुजीत इक़बाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.