बरेली के बाज़ार में झुमका गिराने वाली
इतनी बावरी है सच
उस रोज़ रुमाल छोड़ आई रक़ीब के पास
सौदा लेने गई तो छुट्टे छोड़ दिए
दर्ज़ी के पास नाप छोड़ा चलो माना
क्या ही ज़रूरी था खिलखिलाहट छोड़ना
चौक में कैस के पास छोड़ आई चेहरे का थोड़ा गुलाब
हद्द ये कि एक चाय और सरसरी सी मुलाक़ात पर
किसी दफ़्तर में छोड़ आई अपना दिल
झुमका गिरा तभी सहेलियों ने समझाया
भाभी ने टोका अम्मा ने तरेरी आँखें
यहाँ तक कि पड़ोसन ने भी कसा तंज
‘ये लच्छन अच्छे नहीं
भरे बाज़ार चीज़ लानी होती है कि लुटानी
हर कहीं कुछ न कुछ छोड़ आने वाली कैसे संभालेगी गिरहस्थी’
लड़कियों को तो सहेजना आना चाहिए
होना चाहिए चम्मचों कटोरियों का हिसाब
आख़िर लड़कियों के ही तो पल्लू से तो बंधे हैं सब नाते
और ये दीवानी सरेबाज़ार गिरा आती है झुमका
दीवानी लड़कियाँ खानदान के लिए ख़तरा होती हैं
बात भला बरेली तक ही क्या रहती
आग की तरह दिल्ली जा पहुँची ख़बर
बल्लीमारान की किसी गली में शोर उठा फिर सन्नाटा पसर गया
ये झुमके चढ़ावे में गए थे
लड़की के ससुराल होते घर ने लौटा दिया रिश्ता
झुमका खोने वाली क्या ही संभालेगी भंडार की चाबियाँ
जबसे नाउन संदेसा लाई घर भर में मातम है
अम्मा ने सिर पीटा अब्बा खखार रहे बार-बार
छोटा भाई फिर निकला है झुमका खोजने बाज़ार
इधर छत पर बेपरवाह लड़की गुनगुना रही है
मैंने तुझसे मोहब्बत की है ग़ुलामी नहीं की बलमा
bareli ke bazar mein jhumka girane vali
itni bavri hai sach
us roz rumal chhoD aai raqib ke paas
sauda lene gai to chhutte chhoD diye
darzi ke paas naap chhoDa chalo mana
kya hi zaruri tha khilkhilahat chhoDna
chauk mein kais ke paas chhoD aai chehre ka thoDa gulab
hadd ye ki ek chaay aur sarasri si mulaqat par
kisi daftar mein chhoD aai apna dil
jhumka gira tabhi saheliyon ne samjhaya
bhabhi ne toka amma ne tareri ankhen
yahan tak ki paDosan ne bhi kasa tanj
‘ye lachchhan achchhe nahin
bhare bazar cheez lani hoti hai ki lutani
har kahin kuch na kuch chhoD aane vali kaise sambhalegi girhasthi’
laDakiyon ko to sahejna aana chahiye
hona chahiye chammchon katoriyon ka hisab
akhir laDakiyon ke hi to pallu se to bandhe hain sab nate
aur ye divani sarebazar gira aati hai jhumka
divani laDkiyan khanadan ke liye khatra hoti hain
baat bhala bareli tak hi kya rahti
aag ki tarah dilli ja pahunchi khabar
ballimaran ki kisi gali mein shor utha phir sannata pasar gaya
ye jhumke chaDhave mein ge the
laDki ke sasural hote ghar ne lauta diya rishta
jhumka khone vali kya hi sambhalegi bhanDar ki chabiyan
jabse naun sandesa lai ghar bhar mein matam hai
amma ne sir pita abba khakhar rahe baar baar
chhota bhai phir nikla hai jhumka khojne bazar
idhar chhat par beparvah laDki gunguna rahi hai
mainne tujhse mohabbat ki hai ghulami nahin ki balma

स्रोत :
रचनाकार : श्रुति कुशवाहा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.