चादर को मैली होने से बचाने के
कितने जतन थे सहाय बाबू के पास
देह पर बोझ न रहे यह सोच कर
मैल न जमने दिया मन में
कभी हबक कर नहीं बोला
कभी ठबक कर नहीं चले
गेह की देहरी से उठाते रहे प्यास से भरा लोटा
जब भी गए भूख से भरी थाली के पास
श्रम का पसीना पोंछ कर गए
कभी-कभी निकल आते ईर्ष्या-द्वेष के कील काँटे
पैंट की जेब में चला आता स्वार्थ
अहं की टाई को बार-बार ढीला करते
अधिकार के पेन को बहकने नहीं दिया
चादर को जस का तस लौटने का स्मरण था सहाय बाबू में
हालाँकि हबक कर बोले बिना कोई सुनता न था
ठबक कर न चलने में पीछे रह जाने का अपमान था
सहाय बाबू छड़ी से ओस की बूँदों को छूते
जैसे वे गोरख और कबीर के आँसू हों
chadar ko maili hone se bachane ke
kitne jatan the sahay babu ke pas
deh par bojh na rahe ye soch kar
mail na jamne diya man mein
kabhi habak kar nahin bola
kabhi thabak kar nahin chale
geh ki dehri se uthate rahe pyas se bhara lota
jab bhi gaye bhookh se bhari thali ke pas
shram ka pasina ponchh kar gaye
kabhi kabhi nikal aate irshya dwesh ke keel kante
paint ki jeb mein chala aata swarth
ahan ki tie ko bar bar Dhila karte
adhikar ke pen ko bahakne nahin diya
chadar ko jas ka tas lautne ka smarn tha sahay babu mein
halanki habak kar bole bina koi sunta na tha
thabak kar na chalne mein pichhe rah jane ka apman tha
sahay babu chhaDi se os ki bundon ko chhute
jaise we gorakh aur kabir ke ansu hon
chadar ko maili hone se bachane ke
kitne jatan the sahay babu ke pas
deh par bojh na rahe ye soch kar
mail na jamne diya man mein
kabhi habak kar nahin bola
kabhi thabak kar nahin chale
geh ki dehri se uthate rahe pyas se bhara lota
jab bhi gaye bhookh se bhari thali ke pas
shram ka pasina ponchh kar gaye
kabhi kabhi nikal aate irshya dwesh ke keel kante
paint ki jeb mein chala aata swarth
ahan ki tie ko bar bar Dhila karte
adhikar ke pen ko bahakne nahin diya
chadar ko jas ka tas lautne ka smarn tha sahay babu mein
halanki habak kar bole bina koi sunta na tha
thabak kar na chalne mein pichhe rah jane ka apman tha
sahay babu chhaDi se os ki bundon ko chhute
jaise we gorakh aur kabir ke ansu hon
स्रोत :
रचनाकार : अरुण देव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.