आदमी ने स्वयं को घेर लिया
व्योम बेहद डरावना था
काल बेहद उदास
तब उसने सुरक्षित महसूस किया
अनंत व्योम की जगह वहाँ थीं विशुद्ध सफ़ेद दीवारें
अनंत काल की जगह मुलायम बिस्तर
तब भी ज़रूरत थी खिड़की-दरवाज़ों की
दरवाज़े जिगरी दोस्तों की ख़ातिर
खिड़कयाँ गर्मियों के ख़ूबसूरत सूर्य के लिए
दिन में बाहर नीला आकाश है और मेघों की दीवारें
मैदानों और सड़कों का बिस्तर
हालाँकि रात में आदमी ने स्वयं को भीतर बंद कर लिया
'प्रिय कमरा' बुदबुदाते रहे हैं मनुष्य हमेशा से
आकाश ने ईमानदारी से आदमी का क़रीबी रिश्ता बनाया
बसंत ग्रीष्म शरद और सर्दियों से अचानक मृत्यु के दिन तक
मैं कुछ नहीं जानता उस आदमी के बारे में
लेकिन उसके बग़ैर यह कमरा
धीरे-धीरे लगने लगता है ब्रह्माण्ड-सा
adami ne svayan ko gher liya
vyom behad Daravna tha
kaal behad udaas
tab usne surakshit mahsus kiya
anant vyom ki jagah vahan theen vishuddh safed divaren
anant kaal ki jagah mulayam bistar
tab bhi zarurat thi khiDki darvazon ki
darvaze jigri doston ki khatir
khiDakyan garmiyon ke khubsurat surya ke liye
din mein bahar nila akash hai aur meghon ki divaren
maidanon aur saDkon ka bistar
halanki raat mein adami ne svayan ko bhitar band kar liya
priy kamra budbudate rahe hain manushya hamesha se
akash ne iimandari se adami ka qaribi rishta banaya
basant greeshm sharad aur sardiyon se achanak mrityu ke din tak
main kachh nahin janta us adami ke bare mein
lekin uske baghair ye kamra
dhire dhire lagne lagta hai brahmanD sa

स्रोत :
पुस्तक : पुनर्वसु (पृष्ठ 309)
संपादक : अशोक वाजपेयी
रचनाकार : शुन्तारो तानीकावा
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.