अचानक कि रात दीवार चलती है
सन्नाटा दिल में बिगुल की तरह गूँजता है और एक कराह फड़फड़ाकर,
उड़ती है
दर्द पसलियों में चाकू भोंकता है—उनके पीछे वह धड़कन भी चुप हो जाती
है
जो तकलीफ़ देती थी
सिर्फ़ दीवार चीख़ती है, शरीर उठता है, गूँगा और बहरा।
और दिल, हाथ और मुँह जानते हैं—हाँ, यह मौत है, यह मौत है।
जैसे जब जेल में बिजली झपकती है
तो अंदर सारे क़ैदी और बाहर पहरा देते सारे संतरी
जानते हैं कि कैसे उस वक़्त एक ही आदमी के शरीर में सारी बिजली
एक साथ दौड़ रही है
बल्ब को चुप ही रहना है, कोठरी से एक साया गुज़रता है
और अब संतरी, क़ैदी और कीड़े जानते हैं कि जिसे वह सूँघ रहे हैं
वह जले हुए आदमी का माँस है।
achanak ki raat divar chalti hai
sannata dil mein bigul ki tarah gunjta hai aur ek karah phaDaphDakar,
uDti hai
dard pasaliyon mein chaku bhonkta hai—unke pichhe wo dhaDkan bhi chup ho jati
hai
jo taklif deti thi
sirf divar chikhti hai, sharir uthta hai, gunga aur bahra.
aur dil, haath aur munh jante hain—han, ye maut hai, ye maut hai.
jaise jab jel mein bijli jhapakti hai
to andar sare qaidi aur bahar pahra dete sare santri
jante hain ki kaise us vaqt ek hi adami ke sharir mein sari bijli
ek saath dauD rahi hai
balb ko chup hi rahna hai, kothari se ek saya guzarta
aur ab santri, qaidi aur kiDe jante hain ki jise wo soongh rahe hain
wo jale hue adami ka maans hai.

स्रोत :
पुस्तक : प्यास से मरती एक नदी (पृष्ठ 218)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : मिक्लोश राद्नोती
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.