तत्काल किए जा सकते हैं कुछ काम,
सब कुछ नहीं होता तत्काल।
क्रोध, घृणा, द्वेष किए जा सकते हैं
बिना सोचे-समझे तत्काल
प्रेम करने को चाहिए कुछ काल
जैसे बीज को वृक्ष
कली को कुसुम
भंवरे को मधुकर।
तत्काल थूका जा सकता है किसी पर भी
किसी का थूका पौंछा नहीं जा सकता तत्काल
तुम उठ कर जा सकते हो भरी सभा से
लेकिन बैठ नहीं सकते तत्काल।
घोषणा की जा सकती है कि सब कुछ बंद
खुलना नहीं होता तत्काल।
तत्काल गिराए जा सकते हैं बम
किसी शहर पर,
नहीं बसाया जा सकता एक घर
कि तत्काल सोख लेता है
पानी की लकीर को सूरज
लेकिन पानी की लकीर
खींच नहीं सकता सूरज तत्काल।
मैं बक सकता हूँ, अनाप- शनाप कुछ भी
एक कविता नहीं लिख सकता तत्काल।
tatkal kiye ja sakte hain kuch kaam,
sab kuch nahin hota tatkal.
krodh,ghrina, dvesh kiye ja sakte hain
bina soche samjhe tatkal
prem karne ko chahiye kuch kaal
jaise beej ko vriksh
kali ko kusum
bhanvre ko madhukar.
tatkal thuka ja sakta hai kisi par bhi
kisi ka thuka paunchha nahin ja sakta tatkal
tum uth kar ja sakte ho bhari sabha se
lekin baith nahin sakte tatkal.
ghoshna ki ja sakti hai ki sab kuch band
khulna nahin hota tatkal.
tatkal giraye ja sakte hain bam
kisi shahr par,
nahin basaya ja sakta ek ghar
ki tatkal sokh leta hai
pani ki lakir ko suraj
lekin pani ki lakir
kheench nahin sakta suraj tatkal.
main bak sakta hoon, anap shanap kuch bhi
ek kavita nahin likh sakta tatkal.
tatkal kiye ja sakte hain kuch kaam,
sab kuch nahin hota tatkal.
krodh,ghrina, dvesh kiye ja sakte hain
bina soche samjhe tatkal
prem karne ko chahiye kuch kaal
jaise beej ko vriksh
kali ko kusum
bhanvre ko madhukar.
tatkal thuka ja sakta hai kisi par bhi
kisi ka thuka paunchha nahin ja sakta tatkal
tum uth kar ja sakte ho bhari sabha se
lekin baith nahin sakte tatkal.
ghoshna ki ja sakti hai ki sab kuch band
khulna nahin hota tatkal.
tatkal giraye ja sakte hain bam
kisi shahr par,
nahin basaya ja sakta ek ghar
ki tatkal sokh leta hai
pani ki lakir ko suraj
lekin pani ki lakir
kheench nahin sakta suraj tatkal.
main bak sakta hoon, anap shanap kuch bhi
ek kavita nahin likh sakta tatkal.
स्रोत :
रचनाकार : नितेश व्यास
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.