अपने सरों पे लादे रहते हैं ये
हँडे रोशनी के
फिर भी
कितने ओझल हैं इनके चेहरे
कि ये दिखते ही नहीं
एक से लगते हैं सभी
चेहरे अँधेरे के
कहने को सर पे है
मगर नहीं छलकती
कोई बूँद रोशनी की इनके चेहरों पे
कि चलते रहते हैं ये गुमसुम
ख़ुशी के गीतों में छूटे सुरों की तरह
बारातियों के साथ-साथ
दमकते चेहरों पे
रोशनी मलते हुए
जैसे धो कर निखारी हो रात
हँडों के शीशों की तरह
ऐसे पेरते हैं रोशनी रात भर
फिर भी कितने काले हैं इनके हाथ
जैसे आई हो हिस्से में इनके
काली सूखी रात।
apne saron pe lade rahte hain ye
hanDe roshni ke
phir bhi
kitne ojhal hain inke chehre
ki ye dikhte hi nahin
ek se lagte hain sabhi
chehre andhere ke
kahne ko sar pe hai
magar nahin chhalakti
koi boond roshni ki inke chehron pe
ki chalte rahte hain ye gumsum
khushi ke giton mein chhute suron ki tarah
baratiyon ke saath saath
damakte chehron pe
roshni malte hue
jaise dho kar nikhari ho raat
hanDon ke shishon ki tarah
aise perte hain roshni raat bhar
phir bhi kitne kale hain inke haath
jaise aai ho hisse mein inke
kali sukhi raat.
apne saron pe lade rahte hain ye
hanDe roshni ke
phir bhi
kitne ojhal hain inke chehre
ki ye dikhte hi nahin
ek se lagte hain sabhi
chehre andhere ke
kahne ko sar pe hai
magar nahin chhalakti
koi boond roshni ki inke chehron pe
ki chalte rahte hain ye gumsum
khushi ke giton mein chhute suron ki tarah
baratiyon ke saath saath
damakte chehron pe
roshni malte hue
jaise dho kar nikhari ho raat
hanDon ke shishon ki tarah
aise perte hain roshni raat bhar
phir bhi kitne kale hain inke haath
jaise aai ho hisse mein inke
kali sukhi raat.
स्रोत :
रचनाकार : संजीव कौशल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.