जब मेरा अस्तित्व न रहेगा, प्रभु, तब तुम क्या करोगे?
जब मैं—तुम्हारा जलपात्र, टूटकर बिखर जाऊँगा?
जब मैं तुम्हारी मदिरा सूख जाऊँगा या स्वादहीन हो जाऊँगा?
मैं तुम्हारा वेश हूँ, तुम्हारी वृत्ति हूँ
मुझे खोकर तुम अपना अर्थ खो बैठोगे?
मेरे बिना तुम गृहहीन निर्वासित होगे, स्वागत-विहीन
मैं तुम्हारी पादुका हूँ, मेरे बिना तुम्हारे
चरणों में छाले पड़ जाएँगे, वे भटकेंगे लहूलुहान!
तुम्हारा शानदार लबादा गिर जाएगा
तुम्हारी कृपादृष्टि जो कभी मेरे कपोलों की
नर्म शय्या पर विश्राम करती थी
निराश होकर वह सुख खोजेगी
जो मैं उसे देता था—
दूर की चट्टानों की ठंडी गोद में
सूर्यास्त के रंगों में घुलने का सुख—
प्रभु, प्रभु मुझे आशंका होती है
मेरे बिना तुम क्या करोगे?
jab mera astitv na rahega, prabhu, tab tum kya karoge?
jab main—tumhara jalpatr, tutkar bikhar jaunga?
jab main tumhari madira sookh jaunga ya svadahin ho jaunga?
main tumhara vesh hoon, tumhari vritti hoon
mujhe khokar tum apna arth kho baithoge?
mere bina tum grihhin nirvasit hoge, svagat vihin
main tumhari paduka hoon, mere bina tumhare
charnon mein chhale paD jayenge, ve bhatkenge lahu luhan!
tumhara shanadar labada gir jayega
tumhari kripadrishti jo kabhi mere kapolon ki
narm shayya par vishram karti thi
nirash hokar wo sukh khojegi
jo main use deta tha—
door ki chattanon ki thanDi god men
suryast ke rangon mein ghulne ka sukh—
prabhu, prabhu mujhe ashanka hoti hai
mere bina tum kya karoge?

स्रोत :
पुस्तक : देशान्तर (पृष्ठ 209)
संपादक : धर्मवीर भारती
रचनाकार : रेनर मरिया रिल्के
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ, काशी
संस्करण : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.