तुम काफ़ी अच्छे गद्य हो
इतने भी सुगठित नहीं कि बुरे लगो
कविता की तरह नहीं दिखो तो अच्छा है
व्याकरण और विरामादि चिह्नों की ग़लतियाँ
जन-सम्मत हैं
भाषा में लड़खड़ाते भी तुम अच्छे लगते हो
लहज़ों के अविष्कार में तो तुम्हारा
कोई जवाब नहीं
तुम अपने हालात का बयान करते हो
मैं उसे आत्मा की बोली में बदल लेता हूँ
पद्यमय होने की पिलपिली कोशिश
मत करना
वह मैं चुपके से कभी कर लेता हूँ
और सारी रचनाओं को छिपा देता हूँ
तुम्हारे साथ से मेरा बदन
ठोस और वज़नदार है
यह तय है मैं गिरने वाला नहीं हूँ
यानी कि हम सब मज़बूती से
खड़े हैं
वे औरतें भी कम गद्यमय नहीं हैं
जिनकी श्रमशील मांसपेशियाँ रोज़
मनुष्यता अर्जित करती हैं और
उनके दाम के बारे में नहीं सोचतीं।
tum kafi achchhe gadya ho
itne bhi sugthit nahin ki bure lago
kavita ki tarah nahin dikho to achchha hai
vyakran aur viramadi chihnon ki ghalatiyan
jan sammat hain
bhasha mein laDkhaDate bhi tum achchhe lagte ho
lahzon ke avishkar mein to tumhara
koi javab nahin
tum apne halat ka byaan karte ho
main use aatma ki boli mein badal leta hoon
padymay hone ki pilpili koshish
mat karna
wo main chupke se kabhi kar leta hoon
aur sari rachnaon ko chhipa deta hoon
tumhare saath se mera badan
thos aur vazandar hai
ye tay hai main girne vala nahin hoon
yani ki hum sab mazbuti se
khaDe hain
ve aurten bhi kam gadymay nahin hain
jinki shramshil manspeshiyan roz
manushyata arjit karti hain aur
unke daam ke bare mein nahin sochtin.
tum kafi achchhe gadya ho
itne bhi sugthit nahin ki bure lago
kavita ki tarah nahin dikho to achchha hai
vyakran aur viramadi chihnon ki ghalatiyan
jan sammat hain
bhasha mein laDkhaDate bhi tum achchhe lagte ho
lahzon ke avishkar mein to tumhara
koi javab nahin
tum apne halat ka byaan karte ho
main use aatma ki boli mein badal leta hoon
padymay hone ki pilpili koshish
mat karna
wo main chupke se kabhi kar leta hoon
aur sari rachnaon ko chhipa deta hoon
tumhare saath se mera badan
thos aur vazandar hai
ye tay hai main girne vala nahin hoon
yani ki hum sab mazbuti se
khaDe hain
ve aurten bhi kam gadymay nahin hain
jinki shramshil manspeshiyan roz
manushyata arjit karti hain aur
unke daam ke bare mein nahin sochtin.
स्रोत :
पुस्तक : पानी है तो फूटेगा (पृष्ठ 61)
रचनाकार : राजेश सकलानी
प्रकाशन : परिकल्पना प्रकाशन
संस्करण : 2019
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.