मेरे मित्र
कहाँ हो तुम
सात साल व्यर्थ ही बीत गए
तब से अब तक
जब आख़िरी बार
हम दोनों विदा हुए
बर्फ़ीली दुनिया में
वक़्त को गुज़ारते
सील भरी धरती में
अब भी क्या तुम लेटे
अगर सभी असफल हो जाए
तब तो अच्छा
यह ख़त मेरा
तुम तक उस दुनिया में जाए
जिसने हमको अलग किया है
और तुम्हारे हाथों में सीधा गिर जाए
एक कबूतर जैसा
जिसके पंख धूल में सने हुए हों
औ’ शब्दों को
जो केवल पढ़ने को होते
दिल के पास तुम्हारे जाकर
अपने पंखों को फड़काएँ
उचित समय अब
बूढ़ा होकर दिन गिनने का
जो अपने प्रिय हैं
उनकी चिंता करने का
इसमें ही ख़ुश हो लेने का।
mere mitr
kahan ho tum
saat saal vyarth hi beet ge
tab se ab tak
jab akhiri baar
hum donon vida hue
barfili duniya men
vaqt ko guzarte
seel bhari dharti men
ab bhi kya tum lete
agar sabhi asaphal ho jaye
tab to achchha
ye khat mera
tum tak us duniya mein jaye
jisne hamko alag kiya hai
aur tumhare hathon mein sidha gir jaye
ek kabutar jaisa
jiske pankh dhool mein sane hue hon
au’ shabdon ko
jo keval paDhne ko hote
dil ke paas tumhare jakar
apne pankhon ko phaDkayen
uchit samay ab
buDha hokar din ginne ka
jo apne priy hain
unki chinta karne ka
ismen hi khush ho lene ka
mere mitr
kahan ho tum
saat saal vyarth hi beet ge
tab se ab tak
jab akhiri baar
hum donon vida hue
barfili duniya men
vaqt ko guzarte
seel bhari dharti men
ab bhi kya tum lete
agar sabhi asaphal ho jaye
tab to achchha
ye khat mera
tum tak us duniya mein jaye
jisne hamko alag kiya hai
aur tumhare hathon mein sidha gir jaye
ek kabutar jaisa
jiske pankh dhool mein sane hue hon
au’ shabdon ko
jo keval paDhne ko hote
dil ke paas tumhare jakar
apne pankhon ko phaDkayen
uchit samay ab
buDha hokar din ginne ka
jo apne priy hain
unki chinta karne ka
ismen hi khush ho lene ka
स्रोत :
पुस्तक : एक सौ एक सोवियत कविताएँ (पृष्ठ 180)
रचनाकार : ओल्गा बेर्गोल्त्स
प्रकाशन : नेशनल पब्लिशिंग हाउस, दिल्ली
संस्करण : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.