एक दिन
आसमान से फूल बरसेंगे
और धरती पर गिरने की बजाए
तुम्हारी झोली में समा जाएँगे
तुम्हारी झोली
जो पहले ही भरी होगी
अनाज और उम्मीद से
एक दिन
सारे धर्मगुरु
धर्मस्थलों के अहाते में चलाएँगे स्कूल
जहाँ बच्चे सिखाएँगे सही तरह बड़ा होना
एक दिन
सारे बच्चे
समाज की साझा ज़िम्मेदारी होंगे
सभी अनाथालय गिरा दिए जाएँगे
एक दिन
रात बंद ताले-सी न होगी स्त्री के लिए
उसी के पास होगी उसकी सारी चाबियाँ
एक दिन
ख़ामोशियों से पनपे सन्नाटे नहीं होंगे
चुप्पी से उपजे वीराने नहीं
बौने नहीं पैदा होंगे सपने
वक्र नहीं होगी मुस्कानें
तिर्यक नहीं होगी दृष्टि
सब होगा सही अनुपात में
एक दिन हम मनुष्य होना सीख जाएँगे
ek din
asman se phool barsenge
aur dharti par girne ki bajaye
tumhari jholi mein sama jayenge
tumhari jholi
jo pahle hi bhari hogi
anaj aur ummid se
ek din
sare dharmaguru
dharmasthlon ke ahate mein chalayenge skool
jahan bachche sikhayenge sahi tarah baDa hona
ek din
sare bachche
samaj ki sajha zimmedari honge
sabhi anathalaya gira diye jayenge
ek din
raat band tale si na hogi stri ke liye
usi ke paas hogi uski sari chabiyan
ek din
khamoshiyon se panpe sannate nahin honge
chuppi se upje virane nahin
baune nahin paida honge sapne
vakr nahin hogi muskanen
tiryak nahin hogi drishti
sab hoga sahi anupat men
ek din hum manushya hona seekh jayenge
ek din
asman se phool barsenge
aur dharti par girne ki bajaye
tumhari jholi mein sama jayenge
tumhari jholi
jo pahle hi bhari hogi
anaj aur ummid se
ek din
sare dharmaguru
dharmasthlon ke ahate mein chalayenge skool
jahan bachche sikhayenge sahi tarah baDa hona
ek din
sare bachche
samaj ki sajha zimmedari honge
sabhi anathalaya gira diye jayenge
ek din
raat band tale si na hogi stri ke liye
usi ke paas hogi uski sari chabiyan
ek din
khamoshiyon se panpe sannate nahin honge
chuppi se upje virane nahin
baune nahin paida honge sapne
vakr nahin hogi muskanen
tiryak nahin hogi drishti
sab hoga sahi anupat men
ek din hum manushya hona seekh jayenge
स्रोत :
रचनाकार : श्रुति कुशवाहा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.