कलफ़दार साड़ी की सिल-सिलेवार क्रीज के बीच
दमक उठता है महत्त्वाकाँक्षी व्यक्तित्व
सधे क़दमों से सीढ़ियाँ उतरती है
तय रास्ते से गुजरती है,
चौराहे पर ठहरती है
बाईं ओर मुड़ती है
कोने के मकान में
दुधमुँहें बच्चे को छोड़ती है
बच्चे की नन्हीं मुठ्ठी की जकड़ में
साड़ी की अकड़ मोम हो जाती है।
एक पल ठिठक कर,
कलाई झटक कर
घड़ी को देखती है
फिर बच्चे को छोड़कर
आगे चल देती है।
बच्चे का रोना दूर तक साथ जाता है
चौराहे पर दोनों टकराते हैं—
कलफ़दार साड़ी और मोमदार चेहरा
झाँकते हैं एक-दूसरे की आँखों में
और वह दो से तीन हो जाती है
दो घूँट आँसू पीकर
दो होने की क़ीमत अदा कर
दोनों के बीच से निकल जाती है।
kalafdar saDi ki sil silevar kreej ke beech
damak uthta hai mahattvakankshi vyaktitv
sadhe qadmon se siDhiyan utarti hai
tay raste se gujarti hai,
chaurahe par thaharti hai
bain or muDti hai
kone ke makan mein
dudhamunhen bachche ko chhoDti hai
bachche ki nanhin muththi ki jakaD men
saDi ki akaD mom ho jati hai.
ek pal thithak kar,
kalai jhatak kar
ghaDi ko dekhti hai
phir bachche ko chhoDkar
aage chal deti hai.
bachche ka rona door tak saath jata hai
chaurahe par donon takrate hain—
kalafdar saDi aur momdar chehra
jhankte hain ek dusre ki ankhon men
aur wo do se teen ho jati hai
do ghoont ansu pikar
do hone ki qimat ada kar
donon ke beech se nikal jati hai.
kalafdar saDi ki sil silevar kreej ke beech
damak uthta hai mahattvakankshi vyaktitv
sadhe qadmon se siDhiyan utarti hai
tay raste se gujarti hai,
chaurahe par thaharti hai
bain or muDti hai
kone ke makan mein
dudhamunhen bachche ko chhoDti hai
bachche ki nanhin muththi ki jakaD men
saDi ki akaD mom ho jati hai.
ek pal thithak kar,
kalai jhatak kar
ghaDi ko dekhti hai
phir bachche ko chhoDkar
aage chal deti hai.
bachche ka rona door tak saath jata hai
chaurahe par donon takrate hain—
kalafdar saDi aur momdar chehra
jhankte hain ek dusre ki ankhon men
aur wo do se teen ho jati hai
do ghoont ansu pikar
do hone ki qimat ada kar
donon ke beech se nikal jati hai.
स्रोत :
रचनाकार : अलका सिन्हा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.