अँधेरे के साथ सोना इस तरह जुड़ा रहा
कि रात होते ही माएँ बच्चों को थपकियाँ देने लगती
जबकि अँधेरे समय में सबसे ज़रूरी था जागना
सोकर अँधेरा काट तो सकते हैं
मिटा नहीं सकते
सबसे घने अँधेरे सबसे मीठी नींद लेकर आए
ये रोशनी के ख़िलाफ़ उनकी साज़िश थी
हमने नींद को ढाल बना लिया
अँधेरे को आदत
जागना बनिस्बत चुनौती था
जागने के अपने ख़तरे थे
अँधेरे में जागने वाले अल्पसंख्यकों में गिने गए
सोये हुए समाज ने इन्हें हमेशा संदेह से देखा
अँधेरे ने नींद का नियम लागू किया था
रोशनी की खोज में जागे लोग अपराधी साबित हुए
अँधेरे समय के दिनों में भी इतना अँधकार था
कि जागने वालों को देश विरोधी घोषित किया गया
सोए हुए लोगों ने मिलकर उनके ख़िलाफ़ वोट किया
कालांतर में सोए हुए लोगों की सरकार बनी
andhere ke saath sona is tarah juDa raha
ki raat hote hi mayen bachchon ko thapkiyan dene lagti
jabki andhere samay mein sabse zaruri tha jagna
sokar andhera kaat to sakte hain
mita nahin sakte
sabse ghane andhere sabse mithi neend lekar aaye
ye roshni ke khilaf unki sazish thi
hamne neend ko Dhaal bana liya
andhere ko aadat
jagna banisbat chunauti tha
jagne ke apne khatre the
andhere mein jagne vale alpsankhykon mein gine ge
soye hue samaj ne inhen hamesha sandeh se dekha
andhere ne neend ka niyam lagu kiya tha
roshni ki khoj mein jage log apradhi sabit hue
andhere samay ke dinon mein bhi itna andhakar tha
ki jagne valon ko desh virodhi ghoshit kiya gaya
soe hue logon ne milkar unke khilaf vot kiya
kalantar mein soe hue logon ki sarkar bani

स्रोत :
रचनाकार : श्रुति कुशवाहा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.