महज़ इसलिए कि मैंने कुछ चीज़ें चुराईं
तुम मुझे चोर क्यों कहते हो, चोर?
पर तुमने हमारे कपड़े चुराए हैं!
यदि मैंने तुम्हारे कपड़े चुराए हैं, तुम्हारे कपड़े
तो यह सिर्फ़ तुम्हारी शर्म की इज़्ज़त रखने के लिए
सिर्फ़ तुम्हारी शर्म की इज़्ज़त रखने के लिए
तुमने हमारी मुर्ग़ी भी चुराई है
यदि मैंने चुराई है हमारी मुर्ग़ी, जैसा तुमने कहा
तो यह सिर्फ़ इसे तलने और खाने के लिए
सिर्फ़ तलने और खाने के लिए
तो हमारी गाय के बारे में क्या जिसे तुमने चुराया
गाय के बारे में क्या जिसे तुमने चुराया
उस गाय से तुम्हारा आशय
ठीक है, यदि मैंने चुराई है तुम्हारी गाय, गाय तुम्हारी
यह थी, यह तो मेरे लिए थी उसका दूध पीने के लिए
मेरे हकीम ने, कृपया नोट करें
तली मुर्ग़ी या गाय के दूध का परहेज़ नहीं कहा है
जब भी कोई चुराता है कोई चीज़ उम्दा, कोई चीज़ अच्छी
तुम लोग बेबात तूफ़ान खड़ा कर देते हो
और उसका चोर नाम धर देते हो, चोर
यह तुम्हारे क़ायदों की ग़लती है
यह तुम्हारे क़ायदों की ख़ामी है
तो फिर तुम अपने क़ायदे बदलो, मैं कहता हूँ
ऐसा न हो कि तुम्हारे क़ायदे तुमको बदल दें
mahz isliye ki mainne kuch chizen churain
tum mujhe chor kyon kahte ho, chor?
par tumne hamare kapDe churaye hain!
yadi mainne tumhare kapDe churaye hain, tumhare kapDe
to ye sirf tumhari sharm ki izzat rakhne ke liye
sirf tumhari sharm ki izzat rakhne ke liye
tumne hamari murghi bhi churai hai
yadi mainne churai hai hamari murghi, jaisa tumne kaha
to ye sirf ise talne aur khane ke liye
sirf talne aur khane ke liye
to hamari gaay ke bare mein kya jise tumne churaya
gaay ke bare mein kya jise tumne churaya
us gaay se tumhara ashay
theek hai, yadi mainne churai hai tumhari gaay, gaay tumhari
ye thi, ye to mere liye thi uska doodh pine ke liye
mere hakim ne, kripaya not karen
tali murghi ya gaay ke doodh ka parhez nahin kaha hai
jab bhi koi churata hai koi cheez umda, koi cheez achchhi
tum log bebat tufan khaDa kar dete ho
aur uska chor naam dhar dete ho, chor
ye tumhare qaydon ki ghalati hai
ye tumhare qaydon ki khami hai
to phir tum apne qayde badlo, main kahta hoon
aisa na ho ki tumhare qayde tumko badal den

स्रोत :
पुस्तक : पुनर्वसु (पृष्ठ 234)
संपादक : अशोक वाजपेयी
रचनाकार : अय्यप्प पणिक्कर
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.