उन्हें चाय में दिलचस्पी थी
मुझे उसकी भाप में
और होटल और चाय के खेतों में
काम करने वाले लोगों में
वे समझते थे कि
माचिस की तीली से आग निकलती है
मुझे पता था कि
उससे जान निकलती है
वे कवि होना चाहते थे
मैं कविता लिखना चाहता था
उन्हें बोलने में भरोसा था
मैं चुप रहने में यक़ीन था
वे कहते थे कि
पेड़ों से छाँह मिलती है
मैं कहता था कि
पेड़ों से कुल्हाड़ियों के हत्थे बनते हैं
पलंग, कुर्सियाँ, घर के दरवाज़े
और शवों के लिए लकड़ियाँ मुहैया होती हैं
उनका मानना था कि
घर सोने के लिए जाया जाता है
मैं मानता था कि घर जागने के लिए है
और अपने कपड़े बदलने के लिए
और वहाँ से कहीं और जाने के लिए
वे आँखों और कनखियों पर मरते थे
मुझे आँखों से नश्तर चुभते थे
वे दर्द से दर्द का इलाज करते थे
मैं दर्द में कराहता और रोता था
वे मुफ़्त की रोटियाँ तोड़ते थे
मैं पहले रोटियाँ बनाता
फिर उन्हें बेचता
और फिर अपना पेट भरता था
वे कविताओं के लिए
चाँद, सूरज, पत्ते, फूल, प्रेम और नदियाँ चाहते थे
मुझे लिखने के लिए
चाक़ू, ख़ंजर और नफ़रत चाहिए
हमारे सोचने के तरीक़ों में
ज़मीन और आसमान का फ़र्क़ था
और यह फ़र्क़ हम दोनों को
इसी ज़िंदगी से मिला था
unhen chay mein dilchaspi thi
mujhe uski bhap mein
aur hotel aur chay ke kheton mein
kaam karne wale logon mein
we samajhte the ki
machis ki tili se aag nikalti hai
mujhe pata tha ki
usse jaan nikalti hai
we kawi hona chahte the
main kawita likhna chahta tha
unhen bolne mein bharosa tha
main chup rahne mein yaqin tha
we kahte the ki
peDon se chhanh milti hai
main kahta tha ki
peDon se kulhaDiyon ke hatthe bante hain
palang, kursiyan, ghar ke darwaze
aur shawon ke liye lakDiyan muhaiya hoti hain
unka manna tha ki
ghar sone ke liye jaya jata hai
main manata tha ki ghar jagne ke liye hai
aur apne kapDe badalne ke liye
aur wahan se kahin aur jane ke liye
we ankhon aur kanakhiyon par marte the
mujhe ankhon se nashtar chubhte the
we dard se dard ka ilaj karte the
main dard mein karahta aur rota tha
we muft ki rotiyan toDte the
main pahle rotiyan banata
phir unhen bechta
aur phir apna pet bharta tha
we kawitaon ke liye
chand, suraj, patte, phool, prem aur nadiyan chahte the
mujhe likhne ke liye
chaqu, khanjar aur nafar chahiye
hamare sochne ke tariqon mein
zamin aur asman ka farq tha
aur ye farq hum donon ko
isi zindagi se mila tha
unhen chay mein dilchaspi thi
mujhe uski bhap mein
aur hotel aur chay ke kheton mein
kaam karne wale logon mein
we samajhte the ki
machis ki tili se aag nikalti hai
mujhe pata tha ki
usse jaan nikalti hai
we kawi hona chahte the
main kawita likhna chahta tha
unhen bolne mein bharosa tha
main chup rahne mein yaqin tha
we kahte the ki
peDon se chhanh milti hai
main kahta tha ki
peDon se kulhaDiyon ke hatthe bante hain
palang, kursiyan, ghar ke darwaze
aur shawon ke liye lakDiyan muhaiya hoti hain
unka manna tha ki
ghar sone ke liye jaya jata hai
main manata tha ki ghar jagne ke liye hai
aur apne kapDe badalne ke liye
aur wahan se kahin aur jane ke liye
we ankhon aur kanakhiyon par marte the
mujhe ankhon se nashtar chubhte the
we dard se dard ka ilaj karte the
main dard mein karahta aur rota tha
we muft ki rotiyan toDte the
main pahle rotiyan banata
phir unhen bechta
aur phir apna pet bharta tha
we kawitaon ke liye
chand, suraj, patte, phool, prem aur nadiyan chahte the
mujhe likhne ke liye
chaqu, khanjar aur nafar chahiye
hamare sochne ke tariqon mein
zamin aur asman ka farq tha
aur ye farq hum donon ko
isi zindagi se mila tha
स्रोत :
रचनाकार : नवीन रांगियाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.