भारत—
मेरे सम्मान का सबसे महान शब्द
जहाँ कहीं भी प्रयोग किया जाए
बाक़ी सभी शब्द अर्थहीन हो जाते हैं
इस शब्द के अर्थ
खेतों के उन बेटों में हैं
जो आज भी वृक्षों की परछाइयों से
वक़्त मापते हैं
उनके पास, सिवाय पेट के, कोई समस्या नहीं
और वृक्ष भूख लगने पर
अपने अंग भी चबा सकते हैं
उनके लिए ज़िंदगी एक परंपरा है
और मौत के अर्थ हैं मुक्ति
जब भी कोई समूचे भारत की
‘राष्ट्रीय एकता’ की बात करता है
तो मेरा दिल चाहता है—
उसकी टोपी हवा में उछाल दूँ
उसे बताऊँ
कि भारत के अर्थ
किसी दुष्यंत से संबंधित नहीं
वरन खेतों में दायर हैं
जहाँ अन्न उगाता है
जहाँ सेंध लगती है...
bharat—
mere samman ka sabse mahan shabd
jahan kahin bhi prayog kiya jaye
baqi sabhi shabd arthahin ho jate hain
is shabd ke arth
kheton ke un beton mein hain
jo aaj bhi wrikshon ki parchhaiyon se
waqt mapte hain
unke pas, siway pet ke, koi samasya nahin
aur wriksh bhookh lagne par
apne ang bhi chaba sakte hain
unke liye zindagi ek parampara hai
aur maut ke arth hain mukti
jab bhi koi samuche bharat ki
‘rashtriya ekta’ ki baat karta hai
to mera dil chahta hai—
uski topi hawa mein uchhaal doon
use bataun
ki bharat ke arth
kisi dushyant se sambandhit nahin
waran kheton mein dayar hain
jahan ann ugata hai
jahan sendh lagti hai
bharat—
mere samman ka sabse mahan shabd
jahan kahin bhi prayog kiya jaye
baqi sabhi shabd arthahin ho jate hain
is shabd ke arth
kheton ke un beton mein hain
jo aaj bhi wrikshon ki parchhaiyon se
waqt mapte hain
unke pas, siway pet ke, koi samasya nahin
aur wriksh bhookh lagne par
apne ang bhi chaba sakte hain
unke liye zindagi ek parampara hai
aur maut ke arth hain mukti
jab bhi koi samuche bharat ki
‘rashtriya ekta’ ki baat karta hai
to mera dil chahta hai—
uski topi hawa mein uchhaal doon
use bataun
ki bharat ke arth
kisi dushyant se sambandhit nahin
waran kheton mein dayar hain
jahan ann ugata hai
jahan sendh lagti hai
स्रोत :
पुस्तक : लहू है कि तब भी गाता है (पृष्ठ 164)
संपादक : चमनलाल, कात्यायनी
रचनाकार : पाश
प्रकाशन : परिकल्पना प्रकाशन
संस्करण : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.