मेरी बालकनी में
धूप का एक भी टुकड़ा नहीं गिरता
किरणों को रोक लेते हैं
भीमकाए होर्डिंग पर सजी
दूधिया साबुन दिखाती
यौवना के वक्षस्तूप
इधर टीवी में एक सुंदरी
धूप को कर लेती है क़ैद
पारदर्शी साबुन में
और हमें ख़रीदने को उकसाती है
आपको इसमें साज़िश नज़र नहीं आती?
यही हो रहा है
हमारी हवा,
हमारे हिस्से के पानी के साथ
उन्होंने बटोर ली है हवा
और हमारे लिए खोल दिए हैं ओज़ोन पार्लर्स
जमा कर लिया है पानी अपने गोदामों में
और सजा दी हैं बोतलें
बाज़ारों में
आओ,
अब इनकी कीमत चुकाओ तुम!
हम ख़रीदेंगे धूप, हवा, पानी उनसे
और वे ख़रीदेंगे हमारे पैसों से
वियाग्रा, शैंपेन और सिगार
मित्रों,
हमें तय करना है
हम कब तक करने देंगे उन्हें
हमारा शिकार।
meri balakni mein
dhoop ka ek bhi tukDa nahin girta
kirnon ko rok lete hain
bhimkaye horDing par saji
dudhiya sabun dikhati
yauvna ke vakshastup
idhar tivi mein ek sundri
dhoop ko kar leti hai qaid
paradarshi sabun men
aur hamein kharidne ko uksati hai
aapko ismen sazish nazar nahin ati?
yahi ho raha hai
hamari hava,
hamare hisse ke pani ke saath
unhonne bator li hai hava
aur hamare liye khol diye hain ozon parlars
jama kar liya hai pani apne godamon men
aur saja di hain botlen
bazaron men
aao,
ab inki kimat chukao tum!
hum kharidenge dhoop, hava, pani unse
aur ve kharidenge hamare paison se
viyagra, shaimpen aur sigar
mitron,
hamein tay karna hai
hum kab tak karne denge unhen
hamara shikar.
meri balakni mein
dhoop ka ek bhi tukDa nahin girta
kirnon ko rok lete hain
bhimkaye horDing par saji
dudhiya sabun dikhati
yauvna ke vakshastup
idhar tivi mein ek sundri
dhoop ko kar leti hai qaid
paradarshi sabun men
aur hamein kharidne ko uksati hai
aapko ismen sazish nazar nahin ati?
yahi ho raha hai
hamari hava,
hamare hisse ke pani ke saath
unhonne bator li hai hava
aur hamare liye khol diye hain ozon parlars
jama kar liya hai pani apne godamon men
aur saja di hain botlen
bazaron men
aao,
ab inki kimat chukao tum!
hum kharidenge dhoop, hava, pani unse
aur ve kharidenge hamare paison se
viyagra, shaimpen aur sigar
mitron,
hamein tay karna hai
hum kab tak karne denge unhen
hamara shikar.
स्रोत :
रचनाकार : दीप्ति कुशवाह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.