तब मैंने वह बजबजाहट सुनी
बच्चों की अस्थियाँ अनगिनत
बच्चों की अस्थियाँ जैसे बाँसुरियाँ।
और वे मेरे पेट से उभरी हुई बजती रहीं, बजती रहीं,
खड़खड़ाती हुई जैसे सातवीं कक्षा के कमरे में
सातवीं कक्षा बजाएगी कलाइयों के त्रिभुज
सातवीं कक्षा खटखटाएगी अपने सरों के बाजे
सातवीं कक्षा बजाएगी मुट्ठियों से अपनी छातियों की ढप
वे धक्का-पेली कर रही थीं, खड़खड़ा रही थीं,
हिल रहीं थीं, चोट कर रही थीं
और मुझे एक बड़े संताप ने पुकारा
अपने से ज़्यादा बड़े संताप ने
मुझे एक बड़ी चिंता ने पुकारा
अपनी से ज़्यादा बड़ी चिंता ने
मुझे एक बड़े वियोग ने पुकारा
अपने से ज़्यादा बड़े वियोग ने।
उन क्रोध से उबलती बच्चों की अस्थियों ने
और वे मेरे पेट पर ढोल बजाती रहीं
और वे चुभती रहीं मेरे फेफड़ों में
और वे मेरे पैरों पर उठ खड़ी हुईं : बजबजाती।
और दौड़तीं।
tab mainne wo bajabjahat suni
bachchon ki asthiyan anaginat
bachchon ki asthiyan jaise bansuriyan.
aur ve mere pet se ubhri hui bajti rahin, bajti rahin,
khaDkhaDati hui jaise satvin kaksha ke kamre mein
satvin kaksha bajayegi kalaiyon ke tribhuj
satvin kaksha khatakhtayegi apne saron ke baje
satvin kaksha bajayegi mutthiyon se apni chhatiyon ki Dhap
ve dhakka peli kar rahi theen, khaDakhDa rahi theen,
hil rahin theen, chot kar rahi theen
aur mujhe ek baDe santap ne pukara
apne se zyada baDe santap ne
majhe ek baDi chinta ne pukara
apni se zyada baDi chinta ne
mujhe ek baDe viyog ne pukara
apne se zyada baDe viyog ne.
un krodh se ubalti bachchon ki asthiyon ne
aur ve mere pet par Dhol bajati rahin
aur ve chubhti rahin mere phephDon mein
aur ve mere pairon par uth khaDi huin ha bajabjati.
aur dauDtin.
tab mainne wo bajabjahat suni
bachchon ki asthiyan anaginat
bachchon ki asthiyan jaise bansuriyan.
aur ve mere pet se ubhri hui bajti rahin, bajti rahin,
khaDkhaDati hui jaise satvin kaksha ke kamre mein
satvin kaksha bajayegi kalaiyon ke tribhuj
satvin kaksha khatakhtayegi apne saron ke baje
satvin kaksha bajayegi mutthiyon se apni chhatiyon ki Dhap
ve dhakka peli kar rahi theen, khaDakhDa rahi theen,
hil rahin theen, chot kar rahi theen
aur mujhe ek baDe santap ne pukara
apne se zyada baDe santap ne
majhe ek baDi chinta ne pukara
apni se zyada baDi chinta ne
mujhe ek baDe viyog ne pukara
apne se zyada baDe viyog ne.
un krodh se ubalti bachchon ki asthiyon ne
aur ve mere pet par Dhol bajati rahin
aur ve chubhti rahin mere phephDon mein
aur ve mere pairon par uth khaDi huin ha bajabjati.
aur dauDtin.
स्रोत :
पुस्तक : दरवाज़े में कोई चाबी नहीं (पृष्ठ 228)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : आऊलिक्की ओकसानेन
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.