कामरेड डॉक्टर यह सचाई है
बेशरमी और बेईमानी से गोले की एक किरच
युद्ध के अंतिम दिवस
आ छिपी मेरे हृदय में
अब न मैं कोई युवा हूँ
इसलिए दावा नहीं करता
कि वह गोला
किसी फ़ासिस्ट का था
हो भी सकता है
और यह भी कि किसी जर्मन-मज़दूर ने
या किसी साथी सिपाही
या युद्धबंदी ने बनाया हो
सोचकर—
पिस्तौल की बैरल भरोसे की नहीं है
यह तभी से पास मेरे
बर्बादियों का ढेर जिसको वारसा कहते
धुआँ दे रहा था
सारी तुलाओं ने कि जिन पर भी तुला हूँ
यही भ्रम पैदा किया है
वज़न मेरा ग्राम कई बढ़ गया है
कोई शिकायत ख़ास मुझको नहीं
गोले की किरच मुझ पर दयालु ही रही
याद बस दो बार ही इसने दिलाई
जब साँस लेने में परेशानी हुई
एक बार तब
जब मैं जयी बन लौट घर आया
और बोसे ले रहा
या दे रहा था
भूल कर अपनी उमर को
और अगली बार
ठेले से फिसलते एक लट्ठे को
थामने की जब थी कोशिश की
कामरेड डॉक्टर
कर चुको जब ऑपरेशन
यह किरच देना मुझे
क्योंकि लंबे समय तक यह
हृदय के सान्निध्य में मेरे रही है
और दूरी मध्य दोनों के रही इससे भी कम
जितना पतला एक काग़ज़ सिगरटी
गुप्त ढंग से बात इसने मेरे दिल की सब सुनीं
और फिर भी बात है यह ख़ास
इस किरच ने आदमी का वृक्ष भेदा है
रास्ता इसको पता भीतर पहुँचने का
मुक्त इसको छोड़ देना अब न अच्छा है।
kamareD Dauktar ye sachai hai
besharmi aur beimani se gole ki ek kirach
yuddh ke antim divas
aa chhipi mere hriday men
ab na main koi yuva hoon
isliye dava nahin karta
ki wo gola
kisi fasist ka tha
ho bhi sakta hai
aur ye bhi ki kisi jarman mazdur ne
ya kisi sathi sipahi
ya yuddhbandi ne banaya ho
sochkar—
pistaul ki bairal bharose ki nahin hai
ye tabhi se paas mere
barbadiyon ka Dher jisko varsa kahte
dhuan de raha tha
sari tulaon ne ki jin par bhi tula hoon
yahi bhram paida kiya hai
vazan mera gram kai baDh gaya hai
koi shikayat khaas mujhko nahin
gole ki kirach mujh par dayalu hi rahi
yaad bas do baar hi isne dilai
jab saans lene mein pareshani hui
ek baar tab
jab main jayi ban laut ghar aaya
aur bose le raha
ya de raha tha
bhool kar apni umar ko
aur agli baar
thele se phisalte ek latthe ko
thamne ki jab thi koshish ki
kamareD Dauktar
kar chuko jab apreshan
ye kirach dena mujhe
kyonki lambe samay tak ye
hriday ke sannidhya mein mere rahi hai
aur duri madhya donon ke rahi isse bhi kam
jitna patla ek kaghaz sigarti
gupt Dhang se baat isne mere dil ki sab sunin
aur phir bhi baat hai ye khaas
is kirach ne adami ka vriksh bheda hai.
rasta isko pata bhitar pahunchne ka
mukt isko chhoD dena ab na achchha hai
kamareD Dauktar ye sachai hai
besharmi aur beimani se gole ki ek kirach
yuddh ke antim divas
aa chhipi mere hriday men
ab na main koi yuva hoon
isliye dava nahin karta
ki wo gola
kisi fasist ka tha
ho bhi sakta hai
aur ye bhi ki kisi jarman mazdur ne
ya kisi sathi sipahi
ya yuddhbandi ne banaya ho
sochkar—
pistaul ki bairal bharose ki nahin hai
ye tabhi se paas mere
barbadiyon ka Dher jisko varsa kahte
dhuan de raha tha
sari tulaon ne ki jin par bhi tula hoon
yahi bhram paida kiya hai
vazan mera gram kai baDh gaya hai
koi shikayat khaas mujhko nahin
gole ki kirach mujh par dayalu hi rahi
yaad bas do baar hi isne dilai
jab saans lene mein pareshani hui
ek baar tab
jab main jayi ban laut ghar aaya
aur bose le raha
ya de raha tha
bhool kar apni umar ko
aur agli baar
thele se phisalte ek latthe ko
thamne ki jab thi koshish ki
kamareD Dauktar
kar chuko jab apreshan
ye kirach dena mujhe
kyonki lambe samay tak ye
hriday ke sannidhya mein mere rahi hai
aur duri madhya donon ke rahi isse bhi kam
jitna patla ek kaghaz sigarti
gupt Dhang se baat isne mere dil ki sab sunin
aur phir bhi baat hai ye khaas
is kirach ne adami ka vriksh bheda hai.
rasta isko pata bhitar pahunchne ka
mukt isko chhoD dena ab na achchha hai
स्रोत :
पुस्तक : एक सौ एक सोवियत कविताएँ (पृष्ठ 268)
रचनाकार : ओजर्स वचियेतिस
प्रकाशन : नेशनल पब्लिशिंग हाउस, दिल्ली
संस्करण : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.