मैं चाहता हूँ कि तुम जान लो
एक बात।
तुम जानती हो कि यह कैसे होता है
अगर मैं देखूँ
काँच का चंद्रमा, लाल टहनी
मद्धिम शरद को अपनी खिड़की से
अगर छू लूँ आग के पास
बेजान राख को
या मुरझाई हुई देह लकड़ी की,
यह सब मुझे तुम तक ले जाते हैं,
गोया जो कुछ भी है
सुगंध, प्रकाश, धातु
छोटी नावें जो तैरती हुई आ रही हैं
तुम्हारे उपद्वीपों की ओर जो मेरी प्रतीक्षा में हैं।
फिर भी अगर तुम मुझसे प्रेम करना छोड़ दो धीरे-धीरे,
मैं भी तुमसे प्रेम करना छोड़ दूँगा धीरे-धीरे।
अगर अचानक तुम मुझे भूल जाओ तो
मुझे ढूँढ़ना नहीं
क्योंकि मैं तुम्हें पहले ही भूल चुका होऊँगा
अगर तुम समझती हो कि बावली और लंबी है
परचम की दिशा से बहती
मेरे जीवन से गुज़री हवाएँ
और तुम तय कर लो
मुझे छोड़ने का किनारे पर
उस हृदय के जिसमें मेरा जीवन है
तब सोचना
कि उसी दिन
उसी क्षण
मैं अपनी बाँहें खींच लूँगा
और जन्मेगी नई जड़ें,
नई धरती की खोज में
परंतु
अगर हर दिन
हर घड़ी
तुम्हें अहसास हो कि तुम बस मेरी हो
निर्दयी मिठास लिए
अगर हर दिन एक फूल
तुम्हारे होंठों तक मेरी तलाश में जाता है,
ओ प्रिये, ओ मेरे प्रेम
मेरे भीतर यह आग फिर उठी है
मुझमें कुछ भी बुझा और विस्मृत नहीं है
मेरा प्रेम तुम्हारे प्रेम से जीवित है प्रिये,
और जब तक तुम जीवित हो यह
रहेगा तुम्हारी बाँहों में
बिन छोड़े मेरी बाँहें।
main chahta hoon ki tum jaan lo
ek baat.
tum janti ho ki ye kaise hota hai
agar main dekhun
kaanch ka chandrma, laal tahni
maddhim sharad ko apni khiDki se
agar chhu loon aag ke paas
bejan raakh ko
ya murjhai hui deh lakDi ki,
ye sab mujhe tum tak le jate hain,
goya jo kuch bhi hai
sugandh, parkash, dhatu
chhoti naven jo tairti hui aa rahi hain
tumhare upadvipon ki or jo meri prtiksha mein hain.
phir bhi agar tum mujh se prem karna chhoD do dhire dhire,
main bhi tum se prem karna chhoD dunga dhire dhire.
agar achanak tum mujhe bhool jao to
mujhe DhunDhana nahin
kyonki main tumhein pahle hi bhool chuka hounga
agar tum samajhti ho ki bavli aur lambi hai
parcham ki disha se bahti
mere jivan se guzri havayen
aur tum tay kar lo
mujhe chhoDne ka kinare par
us hriday ke jis mein mera jivan hai
tab sochna
ki usi din
usi kshan
main apni banhen kheench lunga
aur janmegi nai jaDen,
nayi dharti ki khoj men
parantu
agar har din
har ghaDi
tumhein ahsas ho ki tum bas meri ho
nirdayi mithas liye
agar har din ek phool
tumhare honthon tak meri talash mein jata hai,
o priye, o mere prem
mere bhitar ye aag phir uthi hai
mujh mein kuch bhi bujha aur vismrit nahin hai
mera prem tumhare prem se jivit hai priye,
aur jab tak tum jivit ho ye
rahega tumhari banhon men
bin chhoDe meri banhen.
main chahta hoon ki tum jaan lo
ek baat.
tum janti ho ki ye kaise hota hai
agar main dekhun
kaanch ka chandrma, laal tahni
maddhim sharad ko apni khiDki se
agar chhu loon aag ke paas
bejan raakh ko
ya murjhai hui deh lakDi ki,
ye sab mujhe tum tak le jate hain,
goya jo kuch bhi hai
sugandh, parkash, dhatu
chhoti naven jo tairti hui aa rahi hain
tumhare upadvipon ki or jo meri prtiksha mein hain.
phir bhi agar tum mujh se prem karna chhoD do dhire dhire,
main bhi tum se prem karna chhoD dunga dhire dhire.
agar achanak tum mujhe bhool jao to
mujhe DhunDhana nahin
kyonki main tumhein pahle hi bhool chuka hounga
agar tum samajhti ho ki bavli aur lambi hai
parcham ki disha se bahti
mere jivan se guzri havayen
aur tum tay kar lo
mujhe chhoDne ka kinare par
us hriday ke jis mein mera jivan hai
tab sochna
ki usi din
usi kshan
main apni banhen kheench lunga
aur janmegi nai jaDen,
nayi dharti ki khoj men
parantu
agar har din
har ghaDi
tumhein ahsas ho ki tum bas meri ho
nirdayi mithas liye
agar har din ek phool
tumhare honthon tak meri talash mein jata hai,
o priye, o mere prem
mere bhitar ye aag phir uthi hai
mujh mein kuch bhi bujha aur vismrit nahin hai
mera prem tumhare prem se jivit hai priye,
aur jab tak tum jivit ho ye
rahega tumhari banhon men
bin chhoDe meri banhen.
स्रोत :
पुस्तक : प्यास से मरती एक नदी (पृष्ठ 290)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : कवि के साथ अनुवादक विभा मौर्य, मीना ठाकुर
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.