तट पर जब हमारे आँसू सूख जाएँ
और मछुआरे जाल समेट घर चल दें
समुद्री चिड़ियाँ अपने द्वीप चली जाएँ
और रात होने पर बच्चों की हँसी दूर चली जाए
तब भी वह बंधन जो हमने पिरोया ढाला था
बाक़ी रहेगा
एकता की वह दावत जिसमें हमने भाग लिया था
सनातन द्वारपाल फिर भी अपनी जगह रहेगा
जो देर से आने वाले शोकाकुलों को वापस भेज
क़ब्रिस्तान का द्वार बंद करता है
यह वो संगीत नहीं हो सकता
जो उस रात हमने सुना था
और जो आज भी स्मृति की कोठरियों में अटका है
यह तो हमारे बिसरे साथियों का समूह गान है
और हमारे दूसरे व्यक्तित्व की आदिम ललकार
tat par jab hamare ansu sookh jayen
aur machhuare jaal samet ghar chal den
samudri chiDiyan apne dveep chali jayen
aur raat hone par bachchon ki hansi door chali jaye
tab bhi wo bandhan jo hamne piroya Dhala tha
baqi rahega
ekta ki wo davat jismen hamne bhaag liya tha
sanatan dvarpal phir bhi apni jagah rahega
jo der se aane vale shokakulon ko vapas bhej
qabristan ka dvaar band karta hai
ye wo sangit nahin ho sakta
jo us raat hamne suna tha
aur jo aaj bhi smriti ki kothariyon mein atka hai
ye to hamare bisre sathiyon ka samuh gaan hai
aur hamare dusre vyaktitv ki aadim lalkar

स्रोत :
पुस्तक : पुनर्वसु (पृष्ठ 377)
संपादक : अशोक वाजपेयी
रचनाकार : कोफ़ी अवूनोर
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.