बहुत दिनों से छत पर नहीं हुई
कबूतरों की मटरगस्ती
फीका पड़ गया चाँदनी का मुँह
उदासी के अथाह जल में डूब गई उमंगें
बहुत दिनों से लंबी यात्रा पर गए पिता
लौटे नहीं माँ के सपनों में
घुच्ची आँखें ढूँढ़ती रही
अपना ख़ूबसूरत रंग धरती के सब रंगों में
बहुत दिनों से जंगल में नहीं बजा मृदंग
गुमसुम खड़े कुढ़ते रहे पेड़
रातभर वायलिन की धुन पर थिरकता रहा पूँजीवाद
बहुत दिनों से रमुआ काका की बूढ़ी आँखों में भरा रहा
जवान होती बेटी का डर
एक ख़ौफ़नाक सन्नाटा पसरा रहा हर तरफ़
बहुत दिनों से बच्चों का पेट गुदगुदाती रही भूख
माँ रोज तसल्ली की रोटी खिलाकर सुलाती रही
बहुत दिनों से हमारे भीतर एक अनचींहा डर बैठा है
जिसके साए तले रोज जी रहे हम
बहुत दिनों से
वह आदमी बनने की प्रक्रिया में है
परंतु हर बार उसकी पूँछ धोखा दे जाती है।
bahut dinon se chhat par nahin hui
kabutron ki matargasti
phika paD gaya chandni ka munh
udasi ke athah jal mein Doob gai umangen
bahut dinon se lambi yatra par gaye pita
laute nahin maan ke sapnon mein
ghuchchi ankhen DhunDhati rahi
apna khubsurat rang dharti ke sab rangon mein
bahut dinon se jangal mein nahin baja mridang
gumsum khaDe kuDhte rahe peD
ratbhar vayalin ki dhun par thirakta raha punjivad
bahut dinon se ramua kaka ki buDhi ankhon mein bhara raha
javan hoti beti ka Dar
ek khaufnak sannata pasra raha har taraf
bahut dinon se bachchon ka pet gudgudati rahi bhookh
maan roj tasalli ki roti khilakar sulati rahi
bahut dinon se hamare bhitar ek anchinha Dar baitha hai
jiske saye tale roj ji rahe hum
bahut dinon se
wo adami banne ki prakriya mein hai
parantu har baar uski poonchh dhokha de jati hai.

स्रोत :
रचनाकार : रमेश प्रजापति
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.